❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗
Do sawal hain!
Ek baar kuch Mushrik kashti mein kahi ja rahe thy ke ittefaqan tufaan agaya aur kasti idhar udhar dolne lagi tab kasti per sawar jitney musriqeen thy kehne lage ke Allah Subhanahu ke madad ke bagair wo iss musibat se nijaat nahi paa sakte yh sun kar unhi mein se ek shaqs ne ahad kiya ke agar wo kashti se sahi salamat wapis nikal jayege toh wo islam kabool kar lenge
Sawal 1: wo shaqs kaun thy jinhone uss waqiya ke baad islam qabool kar liya tha?
A: Dihyah Al-Kalbi Radi Allahu Anhu
B: Musaib Ibn Umair Radi Allahu Anhu
C: Hanzala Ibn Abi Amir Radi Allahu Anhu
D: Zaid Ibn Al-Arqam Radi Allahu Anhu
E: Ammar Bin Yasir Radi Allahu Anhu
F: Suraqa Bin Malik Radi Allahu Anhu
G: Inmein se koi nahi
H: Sahi Jawab ka intezar hai
Sawal 2: uss waqiye ka zikr Quran ki kaunsi surah ki tafsir mein hai?
A: Surah Yunus
B: Surah Ankaboot
C: Surah Hud
D: Surah naml
E: Surah Anam
F: Surah Taha
G: Inmein se koi nahi
H: Sahi Jawab ka intezar hai
*****************
Sahi Jawab GB✅
Reference 📚:
--------
بِسْمِ اللَّهِ الرَّحْمَـٰنِ الرَّحِيمِ
--------
فَإِذَا رَكِبُوا فِي الْفُلْكِ دَعَوُا اللَّهَ مُخْلِصِينَ لَهُ الدِّينَ فَلَمَّا نَجَّاهُمْ إِلَى الْبَرِّ إِذَا هُمْ يُشْرِكُونَ
--------
Al Quran : Phir (mushrik) jab kashti mein sawar hote hain to Allah subhanahu ko pukarte hain aur khalis usee ki ibadat karte hain lekin jab wo unko nijat dekar khushki par phauncha deta hai to foran shirk karne lag jate hain
Surah Ankaboot (29), Aayat 65
--------------
Ibn Ishaq se rivayat hai Jab Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne Makkah Fatha Kiya to Ikrama Bin Abu Jahal Radi Allahu Anhu Waha se nikle aur habash jaane ke irade wo kashti Mai baith gaye, Ittefaq se Sakht tufan aaya aur kashti idhar udhar hone lagi jitne Mushriqeen kashti Mai they sab kahne lage ye moqa Sirf Allah Subhanahu ko pukarne Ka hai utho aur Ikhlas ke sath Allah Subhanahu se duaein Karo iss waqt Nijat ussi ke haath hai ye sunte hi Hazrat Ikrama bin Abu Jahal Radi Allahu Anhu Kaha suno Allah Subhanahu ki Qasam agar Samandar ke iss tufan se Allah Subhanahu Ke siwa koi aur Nijat Nahi de Sakta to khushki ki musibato ko taalne wala bhi wahi hai Allah Subhanahu Main tujhse Ahad karta hu ki agar yaha se bach gaya to seedha jaa kar Hazrat Muhammad Sallallahu Alaihi Wasallam ke haath mein haath rakh dunga aur Aap Ka Kalma padhunga Mujhe yaqeen hai ke Allah Subhanahu Ke Rasool Sallallahu Alahai Wasallam meri khataoh se darguzar farmaenge aur mujh par Raham aur Karam farmaenge aur yehi hua bhi (yani unhone Islam Qubul kar liya)
Surah Ankaboot (29), Aayat 65
Alhumdulillah beautifully designed Islamic Images in Arabic, Azkar Quran Short Ayat Dua.
Islamic Images
La Ilaha IllAllah
Sunday, 9 February 2020
Ek baar kuch Mushrik kashti mein kahi ja rahe thy ke ittefaqan tufaan agaya aur kasti idhar udhar dolne lagi tab kasti per sawar jitney musriqeen thy kehne lage ke Allah Subhanahu ke madad ke bagair wo iss musibat se nijaat nahi paa sakte yh sun kar unhi mein se ek shaqs ne ahad kiya ke agar wo kashti se sahi salamat wapis nikal jayege toh wo islam kabool kar lenge
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne aisa kyu kaha mein apne RABB ke Hasne ki wajah se Hans pada
❗Only-Quran-Hadith-Quiz - 950❗ Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne aisa kyu kaha mein apne RABB ke Hasne ki wajah se Hans pada Sawal...
-
❗Only-Quran-Hadith-Quiz - 950❗ Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne aisa kyu kaha mein apne RABB ke Hasne ki wajah se Hans pada Sawal...
-
❗Only-Quran-Hadith-Quiz 946❗ Sawal: wo kaunsa amal hai jiske karne wale ke liye farmaya gaya hai ke wo sood ke bade darwaze mein dakhil hog...
-
Bismillahirrahmannirrahim كَذَٰلِكَ زَيَّنَّا لِكُلِّ أُمَّةٍ عَمَلَهُمْ ---- Iss ke Amal ko khushnuma bana diya hain. -...
-
Bismillahirrhmnnairrahim وَإِنَّهُ لَتَذْكِرَةٌ لِّلْمُتَّقِينَ ----- Aur beshak, yeh Quran parhaizgaron ke liye ek naseeh...
-
❗Only,Quran-Hadith-Quiz❗ Sawal: Kaunse jagah karch karne se jihad mein karch karne ke barabar sawab milta hain A: Kisi ke marz mein karch k...
-
❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗ Allah Subhanahu ta’ala apni Rahmat sirf Raham karne walay shakhs par nazil karta hai Sawal: yaha Raham se murad ki...
-
Bismillahirrahmanirrahim Mushkil kaam ke waqt padhne ki dua / Imtihan (Exam) ke waqt ki dua ----------- Anas Bin Malik...
-
❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗ ❗Jawab ek se ziyada hain Sawal: Qayamat ke din har momeen ke saath kaun hoga A: Amal B: Faristha C: Dost D: Munafi...
-
Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Allah Subhanahu ka Zikr aisa Amal hain jo sone chandi kharch karne se bhi behtar hai joh Allah Subhanahu k...
-
❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗ Ek baar Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne kaha ke wo Jannat mein daakhil huwe aur unhone waha kisi ki qi...
No comments:
Post a Comment