Islamic Images

Islamic Images
La Ilaha IllAllah

Sunday, 9 February 2020

Ye aayat إِنَّا لِلَّهِ وَإِنَّا إِلَيْهِ رَاجِعُونَ Quran mein kaunsi Surah aur aayat mein hai ?

❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Sawal: Ye aayat إِنَّا لِلَّهِ وَإِنَّا إِلَيْهِ رَاجِعُونَ Quran mein kaunsi Surah aur aayat mein hai ?

Koi option nahi hai apna jawab khud likhe

G. Sahi Jawab ka intezaar

***********

Sahi jawab - Surah Baqara 2 , Aayat 156✅

Bismillahirrahmanirrahim

155 وَلَنَبْلُوَنَّكُم بِشَيْءٍ مِّنَ الْخَوْفِ وَالْجُوعِ وَنَقْصٍ مِّنَ الْأَمْوَالِ وَالْأَنفُسِ وَالثَّمَرَاتِ ۗ وَبَشِّرِ الصَّابِرِينَ 

156 الَّذِينَ إِذَا أَصَابَتْهُم مُّصِيبَةٌ قَالُوا إِنَّا لِلَّهِ وَإِنَّا إِلَيْهِ رَاجِعُونَ

157 أُولَـٰئِكَ عَلَيْهِمْ صَلَوَاتٌ مِّن رَّبِّهِمْ وَرَحْمَةٌ ۖ وَأُولَـٰئِكَ هُمُ الْمُهْتَدُونَ 

Surah Baqara 
-----------------
Al Quran : Aur hum tumhe kuch khauff aur bhook aur maalon aur jaano aur phalon(fruits) ke nuqsan se jarur aazmayenge, aur sabr karne walon ko khushkhabri de do. Wo log ki jab unhe koi museebat aati hai to kahte hain "inna lillahi wa inna ilaihi rajeoon" 
(Hum to ALLAH ke hain aur hum usi ki taraf laut kar jane wale hain) 
ye log hain jin par unke RAB ki taraf se meharbaniyan hain aur rahmat hai aur yahi log hidayat pane wale hain 
Al Quran, Surah Baqara 2 , Aayat 155-157

No comments:

Post a Comment

Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo

Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...