❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗
Jawab ek se zyada hain!
Sawal: Inmein se kis kiss ke liye Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya ke wo momin nahi hota hain?
A: Achi aur buri taqdeer per joh iman nahi laate
B: Shrarabi sharaab peete waqt
C: Zaani Zina karte waqt
D: Chor chori karte waqt
E: Lootmar karne wala lootmar karte waqt
F: Sood dene wala sood dete waqt
G: Zulmi Zulm karte waqt
H: Sahi Jawab ka intezaar?
*************
Sahi Jawab - ABCDE✅
Reference📚:
--------------
Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya jab zaani zina karta hai to is waqt woh momin nahi hota, aur jab sharaabii sharaab peeta hai to is waqt woh momin nahi hota, aur jab chor chori karta hai to woh is waqt momin nahi hota, jab loot maar karne wala logon ki nazron ke samnay loot maar karta hai to is waqt woh momin nahi hota
Sahih Hadees
Sunnan e Ibn e Maja Hadees # 3936
--------------
Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya:”koi bandah momin nahi ho sakta yahan tak ke achi aur buri taqdeer par imaan le aaye, aur yeh yaqeen kar le ke jo kuch usay la-haq huwa hai chokannay wala nahi tha aur jo kuch chowk gaya hai usay la-haq honay wala nahi tha“
--------------
Sahih Hadees
Jam e Tirmazi Hadees # 2144
Alhumdulillah beautifully designed Islamic Images in Arabic, Azkar Quran Short Ayat Dua.
Islamic Images
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo
Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...
-
Bismillahirrahmanirrahim Jannat kahti hai ki YA ALLAH isko jannat mein dakhil farma ----------------- Rasool-Al...
-
Bismillahirahmanirrahim Wa antum fa JazakAllahu khairan --- Aur aapko bhi Allah aapko bhi achcha Sila ataa farmaye --- And you ...
-
Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...
No comments:
Post a Comment