Islamic Images

Islamic Images
La Ilaha IllAllah

Tuesday 9 November 2021

Ye amal itaat guzaar, tauba karne wale aur Allah ki taraf ruju karne wale logon ka amal hain?

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz 839❗

Sawal: Ye amal itaat guzaar, tauba karne wale aur Allah ki taraf ruju karne wale logon ka amal hain?

A: Tahajjud padne wale
B: Raat ke waqt Safar karne wale
C: Salatul Tasbeeh padne wale
D: Tahyatul Wadu ki Namaz adda karne wale
E: Fajar ki Namaz adda karne wale
F: Awabeen ki Namaz aada karne wale 
G: Isha ki Namaz adda karne wale
H: In mein se koi naih (apna jawab likhiye)
I:  Sahi Jawab ka Intezaar
***
Sahi Jawab - F (Chast/Awabeen ki namaz)✅

Hadith: Chast/Awabeen ki Namaz padne walon ki fazilat

Reference📚:
------
Hazrat Zaid Bin Arqam Radi Allahu anhu ne kuch logon ko chasht ke waqt namaz padhte dehka to kaha, haan ye log achchi terhan jante hain ke Namaz is waqt ki bajaye ek aur waqt mein padhna Afzal hai beshak Rasool-Allah Salallahu Alaihi wasalam ne farmaya Awabeen (itaat guzaar, Tauba karne wale aur Allah Subhanahu ki taraf ruju karne wale logon) ki Namaz is waqt hoti hain jab (garmi se) oont ke doodh chhudaye janey wale bachon ke paon jalne lagte hain.
-----------
 ایوب نے قاسم شیبانی سے روایت کی کہ حضرت زید بن ارقم  رضی اللہ تعالیٰ عنہ  نے کچھ لوگوں کو چاشت کے وقت نماز پڑھتے دیکھاتو کہا : ہاں یہ لوگ اچھی طرح جانتے ہیں کہ نماز اس وقت کی بجائے ایک اور وقت میں پڑھنا  افضل ہے ۔ بے شک رسول اللہ  صلی اللہ علیہ وسلم   نے فرمایا   اوابین ( اطاعت گزار ، توبہ کرنے والے اور اللہ تعالیٰ کی طرف رجوع  کرنے والےلوگوں )  کی نماز اس وقت ہوتی ہے ۔  ، جب ( گرمی سے )  اونٹ کے دودھ چھڑائے  جانے والے بچوں کے پاؤں جلنے لگتے ہیں ۔   
----------
 Zaid b. Arqam, on seeing some people praying in the forenoon, said:
They well know that prayer at another time than this is more excellent, for Allah's Messenger Sallallahu Alaihi wasallam said: The prayer of those who are penitent is observed when your weaned camels feel the heat of the sun. 
----------
Sahih Muslim Hadees # 1746

No comments:

Post a Comment

Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo

Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...