Islamic Images

Islamic Images
La Ilaha IllAllah

Monday 8 November 2021

Jab koi andha shakhs Azaan sune aur usse koi laane wala nahi ho to Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne kya hukm diya?

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz 818❗

Sawal: Jab koi andha shakhs Azaan sune aur usse koi laane wala nahi ho to Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne kya hukm diya?

A: Ghar ke ek kone mein namaz adda karo
B: Ghar ke sabse nazdeek wale masjid mein namaz aada kare
C: Azan hone se pehle he masjid ajao
D: Azan ke baad ki dua padho
E: Allah ke daiee ko jawab do
F: kisi ghar wale ka intezaar kare aur masjid mein namaz aada kare
G: Inmein se koi nahi (apna jawab likhiye)
H: Sahih jawab ka intezaar
***
Sahih Jawab - E✅

Hadith: Nabeena shakhs jab azan sune aur usse masjid mein lekar jaane wala koi maujud na ho to....

Reference📚:
----
Kaab bin Ajru RadiAllahu Anhu se riwayat hain ke Ek Nabina aadmi Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ke paas aaya aur kehne laga : Eh Allah ke Rasool Sallallahu Alaihi wasallam mein Azaan sunta hu lekin kabhi mujhe saath laane wala koi nahi hota? Aap Sallallahu Alaihi wasallam ‌ne farmaya : Jab tum Azaan suno to Allah ke Daiee ko jawab do (lekin tab bhi yahi hukum hain ke namaz masjid mein he adda ki jaye)
------
كعب بن عجرہ‌رضی اللہ عنہ سے مروی ہے كہ ایك نابيناآدمی نبی صلی اللہ علیہ وسلم كے پاس آیا اور كہنے لگا: اے اللہ كے رسول   میں اذان سنتا ہوں لیکن كبھی مجھے ساتھ لانے والا کوئی نہیں ہوتا؟ آپ  ‌صلی اللہ علیہ وسلم ‌نے فرمایا: جب تم اذان سنو تو اللہ كے داعی كو جواب دو
----
Al-Silsila-tus-Sahiha#509-Sahih

No comments:

Post a Comment

Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo

Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...