Islamic Images

Islamic Images
La Ilaha IllAllah

Monday 8 November 2021

Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne kounse sahabi ke liye farmaya ke usne quwwat ko apnaya hain ?

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz 816❗

Sawal 1️⃣: Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne kounse sahabi ke liye farmaya ke usne quwwat ko apnaya hain ?

Sawal 2️⃣: Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne kounse sahabi ke liye farmaya ke usne mazboot kadha pakad liya hain

A: Ali RadiAllahu Anhu
B: Abu Bakr RadiAllahu Anhu
C: Usman RadiAllahu Anhu
D: Umar RadiAllahu Anhu
E: Zaid bin Harith RadiAllahu Anhu
F: Othman RadiAllahu Anhu
G: Anas bin Malik RadiAllahu Anhu
H: Sahih Jawab ka intezaar
***
Sahih Jawab: DB✅

Hadith: WItr ki Namaz ko raat ke pichle hisse mein adda karne wala shaqs aisa hain jisne apni quwaat ko apnaya ho... aur jo raat ke ibtedaye hisse mein adda kar wo shakhs aisa hai jisne Mazboot kadha pakad liya ho

Reference📚:
----
Jabir bin Abdullah se riwayat hain unho ne kaha ke Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Abu Bakr RadiAllahu Anhu pucha tum kis waqt witr ki namaz ada karte ho? Abu Bakr RadiAllahu Anhu ne kaha isha ki Namaz ke baad raat ke ibtedaye hisse mein. Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya Umar tum kab padhte ho? Umar RadiAllahu Anhu ne kaha: raat ke pichle pahair Nabi Sallalahu Alaihi Wasallam ne farmaya :Abu Bakr! Tum ne Mazboot kadha pakad liya hain aur Umar! Tum ne quwwat ko ikhtiyar kiya hain.
----
جابر بن عبداللہ   رضی اللہ عنہ سے مروی ہے انہوں نے كہا كہ رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے ابو بكر‌رضی اللہ عنہ سےپوچھا: تم كس وقت وتر كی نماز ادا كرتے ہو؟ ابوبكر‌رضی اللہ عنہ نے كہا: عشاء كی نماز كے بعد رات كے ابتدائی حصے میں۔ آپ نے فرمایا: عمر تم كب پڑھتے ہو؟ عمر‌رضی اللہ عنہ نے كہا: رات كے پچھلے پہر نبی صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: ابو بكر! تم نے مضبوط كڑا پكڑ لیا ہے، اور اے عمر! تم نے قوت كو اختیار كیا ہے
----
It was narrated that Jabir bin ‘Abdullah said: “The Messenger of Allah Sallallahu Alaihi wasallam said to Abu Bakr: ‘When do you pray Witr?’ He said: ‘At the beginning of the night, after ‘Isha’.’ He said: ‘And you, O ‘Umar?’ He said: ‘At the end of the night.’ The Prophet (ﷺ) said: ‘As for you, O Abu Bakr, you have seized the trustworthy handhold (i.e., you want to be on the safe side), and as for you, O ‘Umar, you have seized strength (i.e., you are confident that you have the resolve to get up and pray Witr).’”
---
Al-Silsila-tus-Sahiha#555

No comments:

Post a Comment

Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo

Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...