Islamic Images

Islamic Images
La Ilaha IllAllah

Monday 8 November 2021

Ek Andha Shakh Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ke paas aaya aur bola ki mujhe ghar mein Namaz padhne ki ejazat do

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz 817❗

❗Do Sawal hain

Ek Andha Shakh Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ke paas aaya aur bola ki mujhe ghar mein Namaz padhne ki ejazat do

Sawal1: Wo andhe shakh kaun they

A: Maudh bin Jabal RadiAllahu Anhu
B: Usman bin Hanif RadiAllahu Anhu
C: Khuzaima RadiAllahu Anhu
D: Musaib ibn Umar RadiAllahu Anhu
E: Ubayy bin Kaab RadiAllahu Anhu
F: Abu Mahzirah RadiAllahu Anhu
G: Inmein se koi nahi (apna jawab likhiye)
H: Sahih jawab ka intezaar

Sawal 2: Unko kya jawab diya ?

A: Haa farz namaz bhi ghar mein padho
B: Farz Namaz Masjid aur sunnat ghar mein
C: Agar tum azan sunte ho to Masjid mein namaz padho
D: Juma ki namaz masjid mein padho
E: Ghar se Imam ke saath namaz mein shamil ho jao
F: Asar ki namaz Masjid mein padho
G: Inmein se koi nahi (apna jawab likhiye)
H: Sahih Jawab ka intezaar
****
Sahih Jawab - GC✅

Hadith : Nabina shakhs bhi agar Azan sune tab bhi usse Masjid mein he Namaz adaa karne ka hukum diya gaya hain 

----
Ibn Umme Makhtum Radi Allahu Anhu ne Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam se pocha YA Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam main Nabina Admee hu Mera Ghar bhi (Masjid se) durr hain aur meri madad karne wala aisa shaks jo mere liye Sahara bane munasib nahi. Kya mere liye Apne Ghar main Namaz padh lene ki ijazat hain ? Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya kya tum Azan sunte ho Unhone kaha haan Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya phir main tumare liye rukhsat nahi pata (yani tab bhi tumhe Masjid main aakr he Namaz adaa karna hoga)
----
نبی اکرم صلی اللہ علیہ وسلم سے پوچھا: اے اللہ کے رسول صلی اللہ علیہ وسلم! میں نابینا آدمی ہوں، میرا گھر بھی ( مسجد سے ) دور ہے اور میری رہنمائی کرنے والا ایسا شخص ہے جو میرے لیے موزوں و مناسب نہیں، کیا میرے لیے اپنے گھر میں نماز پڑھ لینے کی اجازت ہے؟ آپ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: کیا تم اذان سنتے ہو؟ ، انہوں نے کہا: ہاں، آپ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: ( پھر تو ) میں تمہارے لیے رخصت نہیں پاتا ۔ 
---
Narrated Amr ibn Zadah, Ibn Umm Maktum: Ibn Umm Maktum asked the Prophet Sallallahu Alaihi wasallam saying: Messenger of Allah, I am a blind man, my house is far away (from the mosque), and I have a guide who does not follow me. Is it possible that permission be granted to me for saying prayer in my house? He asked: Do you hear summons (adhan)? He said: Yes. He said: I do not find any permission for you.
----
Sunan Abu Dawud hadith#552
https://sunnah.com/abudawud:552

No comments:

Post a Comment

Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo

Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...