Islamic Images

Islamic Images
La Ilaha IllAllah

Monday 8 November 2021

Inmein se wo kaun hai jis se Allah Subhanhu tab tak naraz rahta hain jab tak wo usko chorh na de

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz 815❗

Sawal: Inmein se wo kaun hai jis se Allah Subhanhu tab tak naraz rahta hain jab tak wo usko chorh na de

A: Jhoot bole kar logon ko hasane wala
B: Jhooti qasam kha ke maal bechne wala
C: Apne bhai se bughz rakhne wala
D: ilm hone ke bawajood nahaq jaghda karne wala
E: Zina karne wala
F: Allah Subhanahu ki aayato se muh modne wala
G: inmein se koi nahi (apna jawab likhiye)
H: Sahih jawab ka intezaar
*****
Sahih Jawab - D✅

Hadith: Jo ilm hone ke bawajud na haq kisi se jaghda kare wo tab tak Allah Subhanahu ki narazgi mein rahega jab tak wo usper qadir rahega ya usse chorh nahi deta

Reference📚:
----
Syedna Abdullah bin Umar RadiAllahu Anhu se riwayat hain ke Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya Jo ilm honay ke bawajood nahaq jhagda kare (dast bardaar ) (yani usper qadir hone ya usse na chorhne) tak Allah Subahanhu ki narazgi mein hoga
----
 سیدنا عبد اللہ بن عمر ‌رضی ‌اللہ ‌عنہما  سے روایت ہے کہ رسول اللہ ‌صلی ‌اللہ ‌علیہ ‌وآلہ ‌وسلم  نے فرمایا: جو علم ہونے کے باوجود ناحق جھگڑا کرے تو وہ اس سے دستبردار ہونے تک اللہ تعالی کی ناراضگی میں ہو گا۔ 
----
Abdullah bin' Umar RadiAllahu Anhu narrated that the Messenger of Allah Sallallahu Alaihi wasallam said: Whoever fights unjustly despite his knowledge, he will be in the wrath of Allah Almighty until he gives up on it.
----
Musnad Ahmed#6414-Sahih

No comments:

Post a Comment

Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo

Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...