Islamic Images

Islamic Images
La Ilaha IllAllah

Wednesday, 10 November 2021

Ek martaba ek Sahabi kuch kaam kar rahe thy tabhi zor se hawa chali aur aisa kuch huwa ke usse dekh kar log unper hasne lage

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz 843❗

❗Jawab ek se ziyada hain

Ek martaba ek Sahabi kuch kaam kar rahe thy tabhi zor se hawa chali aur aisa kuch huwa ke usse dekh kar log unper hasne lage

Sawal: kya wajah thi ke log unper hasne lage

A: Tez hawa se unke kapde badan se udd gaye
B: Unke baal bikhar gaye
C: Unke sine ke ghane baal nazar aa gaye
D: Unke hath se bartan gir gaya
E: Tez hawa ke wajah se wo gir gaye thy
F: Unki patli pindaliya dikhne lagi
G: achnak se wo phisal gaye
H: Sahih jawab ka intezaar
*****
Sahih Jawab - AF✅

Hadith: Abdullah bin Masud Radi Allahu Anhu ki pinadaliya ka meezan mein Uhud Pahad se bhi bhari hone ka zikr...

Reference📚:
----
Abdullah bin Mas’ud RadiAllahu Anhu se riwayat hain ke : wo pelo ki Miswaak kaat rahe they aur wo patli pindliyon walay they. Hawa chali to pindliyon se kapada hatt gaya log hansne lagay Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya tum kis wajah se hans rahay ho? Kehne lage : Eh Allah ke Rasool Sallallahu Alaihi wasallam is ki patli pindliyon ki wajah se Aap Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya iss zaat ki qasam jis ke haath mein meri jaan hain! ye dono Meezan mein uhad pahad se bhi ziyada bhaari hain.
----
عبداللہ بن مسعودرضی اللہ عنہ سے مروی ہے کہ: وہ پیلو کی مسواک کاٹ رہے تھے اور وہ پتلی پنڈلیوں والے تھے۔ ہوا چلی تو پنڈلیوں سے کپڑا ہٹ گیا۔ لوگ ہنسنے لگے۔ رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: تم کس وجہ سے ہنس رہے ہو؟ کہنے لگے: اے اللہ کے نبی صلی اللہ علیہ وسلم اس کی پتلی پنڈلیوں کی وجہ سے ۔ آپ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: اس ذات کی قسم جس کے ہاتھ میں میری جان ہے! یہ دونوں میزان میں احد پہاڑ سے بھی زیادہ بھاری ہیں۔
----
Abdullah bin Mas'ud RadiAllahu Anhu narrates that he was cutting Miswaak and he had thin legs. When the wind blew, the cloth was removed from the legs. People started laughing. The Prophet Sallallahu Alaihi wasallam said: Why are you laughing? They said: O Prophet Sallallahu Alaihi wasallam, because of his slender (thin) legs. The Prophet Sallallahu Alaihi wasallam said: By the One in whose hand is my soul! Both of these scales are heavier than Mount Uhud.
---
Al-Silsila-tus-Sahiha#3576

No comments:

Post a Comment

Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo

Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...