Islamic Images

Islamic Images
La Ilaha IllAllah

Wednesday 10 November 2021

Rasool-Allah Sallalallahu Alaihi wasallam ne kaunse sahabi ke liye dua ki thi ke Eh Allah unki madad Jibraiel Alaihi Salaam ke sath kar

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz 844❗

Sawal: Rasool-Allah Sallalallahu Alaihi wasallam ne kaunse sahabi ke liye dua ki thi ke Eh Allah unki madad Jibraiel Alaihi Salaam ke sath kar

A: Umar RadiAllahu Anhu
B: Abu Huraira RadiAllahu Anhu
C: Usman RadiAllahu Anhu
D: Abu Bakr RadiAllahu Anhu
E: Ali RadiAllahu Anhu
F: Hassan RadiAllahu Anhu
G: Inmein se koi nahi (apna jawab likhiye)
H: Sahih jawab ka intezaar
****
Sahih Jawab - F✅

Hadith: Hassan RadiAllahu Anhu ki Fazilat

Reference📚
----
Abu Huraira RadiAllahu Anhu se riwayat hain ke Umar RadiAllahu Anhu Hassan RadiAllahu Anhu ke paas se guzray, wo masjid mein shair padh rahe thy. Umar RadiAllahu Anhu ne un ki taraf dekh (kar toka) to Hassan RadiAllahu Anhu kehne lagey : Mein Masjid mein shair pada karta tha aur is Masjid mein tum se behtar shakhs ( yani Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam) Maujud tha phir Hassan RadiAllahu Anhu ne Abu Huraira RadiAllahu Anhu ki taraf dekha aur kehnay lagey : Mein tumhe Allah ki qasam deta hu, kya tum ne Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam se suna ke Aap ne farmaya : (Eh Hassan) meri taraf se jawab do, Eh Allah (Hassan ki) Rooh Al Quddus (Jibraiel Alaihi Sallam) ke sath madad farma.
---
Abu Huraira RadiAllahu Anhu narrated that 'Umar RadiAllahu Anhu passed by Hassan RadiAllahu Anhu and he was reciting poetry in the mosque. Umar RadiAllahu Anhu looked at him and stopped him, Hassan RadiAllahu Anhu said: I used to recite poetry in the mosque and there was a better person present (ie the Messenger of Allah Sallallahu Alaihi wasallam) in that mosque, Then Hassan RadiAllahu Anhu looked at Abu Huraira RadiAllahu Anhu and said I swear by Allah to you, did you hear the Messenger of Allah Sallallahu Alaihi wasallam saying (O Hassan) answer on my behalf, O Allah, help (Hassan) with the Holy Spirit (Jibril)۔
---
ابو ہریرہ  رضی اللہ عنہ  سے مروی ہے کہ عمر  رضی اللہ عنہ   حسان  رضی اللہ عنہ   کے پاس سے گزرے، وہ مسجد میں شعر پڑھ رہے تھے۔ عمر  رضی اللہ عنہ   نے ان کی طرف دیکھ (کر ٹوکا) تو حسان  رضی اللہ عنہ کہنے لگے: میں مسجد میں شعر پڑھا کرتا تھا اور اس مسجد میں تم سے بہتر شخص (یعنی رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم ) موجود تھا۔ پھر حسان  رضی اللہ عنہ  نے ابو ہریرہ  رضی اللہ عنہ  کی طرف دیکھا اور کہنے لگے: میں تمہیں اللہ کی قسم دیتا ہوں، کیا تم نے رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم سے سنا کہ آپ نے فرمایا:(اے حسان) میری طرف سے جواب دو، اے اللہ(حسان کی) روح القدس کے ساتھ مدد فرما۔
----
Al-Silsila-tus-Sahiha#2026

No comments:

Post a Comment

Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo

Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...