Islamic Images

Islamic Images
La Ilaha IllAllah

Thursday 12 August 2021

Ek martaba ek umm ul momineen kuch kaam kar rahi thi usper ek shakhs ne farmaya agar ye kisi ko kabar hogi to wo apko kanjus samjhege…

 ❗Only-QUran-Hadith-Quiz 769❗

Ek martaba ek umm ul momineen kuch kaam kar rahi thi usper ek shakhs ne farmaya agar ye kisi ko kabar hogi to wo apko kanjus samjhege…

Sawal: Wo kaunsa amal kar rahi thi

A: bosida takiye ka gilaaf see rahi thi
B: bosida parda see rahi thi
C: purana parda darwaze par latka rahi thi 
D: toote huwe bartan istemaal kar rahi thi
E: purana paijama see rahi thi
F: Sehad mein ghee girne par bhi istemaal kar rahi thi
G: Inmein se koi nahi
H: Sahi Jawab ka intezaar
*****
Sahi Jawab - E✅

Hadith: jo purana kapda na pehne is ka naye kapade mein koi haq nahi

Reference📚:
----
Hazrat Kaseer bin Abaid Rehma Allah kehte hain ke mein Umm Al-Momineen Sayeda Aisha RadiAllahu Anha ki khidmat mein haazir huwa to unhon ne farmaya : zara thehro mein apna paijamay see lu. Hazrat Kaseer Rehma Allah kehte hain : mein thehar gaya aur kaha : Umm Al-Momineen! agar mein bahar ja kar batau ke aap purana kapda (paijaama) see rahi hain to log usse aap ki kanjoosi mein shumaar karenge unhon ne farmaya samajh kar baat karo, baat ye hain ke jo purana kapda na pehne is ka naye kapade mein koi haq nahi
---
الادب المفرد --- كتاب الرفق --- زندگی گزارنے میں سادگی اختیار کرنا [الادب المفرد]
حدیث نمبر: 471 --- حکم البانی: حسن...
 ----
حضرت کثیر بن عبید رحمہ اللہ کہتے ہیں کہ میں ام المؤمنین سیدہ عائشہ ؓ کی خدمت میں حاضر ہوا تو انہوں نے فرمایا : ذرا ٹھہرو میں اپنا پائجامہ سی لوں ۔ حضرت کثیر رحمہ اللہ کہتے ہیں : میں ٹھہر گیا اور کہا : ام المؤمنین ! اگر میں باہر جا کر بتاؤں کہ آپ پرانا کپڑا سی رہی ہیں تو لوگ اسے آپ کی کنجوسی میں شمار کریں گے ۔ انہوں نے فرمایا : سمجھ کر بات کرو ، بات یہ ہے کہ جو پرانا کپڑا نہ پہنے اس کا نئے کپڑے میں کوئی حق نہیں
----
Al-Adab Al-Mufrad (Imam Al-bani) 471-hasan

No comments:

Post a Comment

Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo

Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...