Alhumdulillah beautifully designed Islamic Images in Arabic, Azkar Quran Short Ayat Dua.
Islamic Images
La Ilaha IllAllah
Saturday, 1 February 2020
Sawal1: Yh misaal ki shaqs ke liye hai jo oont ki qurbani karta hai Sawal2: Yh misaal ki shaqs ke liye hai jo apne maal mein se sadqa nikalta hai chahe de diya cahahe nahi diya yh rok liya Sawal3: Yh misaal kis ke liye hai jaise hawain ulat pulat karti rehti hain
❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗
Teen sawal hain jawan 1A, 2B,3C aisa dijiye!
Sawal1: Yh misaal ki shaqs ke liye hai jo oont ki qurbani karta hai
Sawal2: Yh misaal ki shaqs ke liye hai jo apne maal mein se sadqa nikalta hai chahe de diya cahahe nahi diya yh rok liya
Sawal3: Yh misaal kis ke liye hai jaise hawain ulat pulat karti rehti hain
-----------
A: Nafil Namaz
B: Dil
C: Quran
D: Sadqa karne wala
E: Nafil Roza
F: Awwal waqt mein namaz padne wala
G: Jihad karne wala
H: Sahi Jawab ka Intezaar
***********************
Sahi Jawab: 1F, 2E, 3B✅
Reference📚:
-------
Rasool-Allah (ﷺ) ne farmaya : Awwal waqt mein namaz ke liye jane walay ki misaal us shakhs ki si hai jo oont ki qurbani karta hai, phir jo us ke baad aaye woh us shakhs ki terhan hai jo gaaye ki qurbani karta hai, phir jo us ke baad aaye woh us shakhs ki terhan hai jo bheedh ki qurbani karta hai, phir jo us ke baad aaye woh us shakhs ki terhan hai jo murghi ki qurbani karta hai, phir jo us ke baad aaye woh us shakhs ki terhan hai jo anday ki qurbani karta hai .
Sunnan Nisai Hadith, 865 Sahih
---------
Rasool-Allah (ﷺ) ek din mere paas aaye, aur poocha : ”Kya tumahray paas kuch ( khanay ko ) hai? “ to mein ne kaha nahi, aap ne farmaya : ”To mein roza se hon“, us din ke baad phir ek din aap mere paas se guzray, is din mere paas tohfa mein hice aaya huwa tha, mein ne us mein se aap ke liye nikaal kar chhupa rakha tha, aap ko hice bohat pasand tha, unhon ne arz kiya : Allah ke Rasool! mujhe hice tohfay mein diya gaya hai, mein ne is mein se aap ke liye chhupa kar rakha hai, aap nay farmaya : ”lao haazir karo, agarchay mein nay subah se hi roza ki niyat kar rakhi hai “ (magar khaoga) to Aap salle Allahu Alaihi wasalam ne khaya, phir farmaya : ”Nafli roza ki misaal us aadmi ki si hai jo apne maal mein se sadqa nikaalta hai, jee chaha day diya, jee chaha nahi diya, rok liya“ .
Sunnan Nisai Hadith, 2324 Sahih
------
Rasool-Allah (ﷺ) ne farmaya : Dil ki misaal us par ki terhan hai jisay hawain maidan mein ulat palat karti rehti hain۔
Sunnan Ibne Maja Hadith, 88 Sahih
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne aisa kyu kaha mein apne RABB ke Hasne ki wajah se Hans pada
❗Only-Quran-Hadith-Quiz - 950❗ Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne aisa kyu kaha mein apne RABB ke Hasne ki wajah se Hans pada Sawal...
-
❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗ Sawal: Tauheed ka elaan karne wali surah kaunsi hai A: Surah Ikhlas B: Surah An Nas C: Surah Fatiha D: Surah Kafiro...
-
Bismillahirrahmanirrahim اللَّهُمَّ اغْفِرْ لِي مَا قَدَّمْتُ وَمَا أَخَّرْتُ Allahummagfirli Ma Qaddamtu Wa Ma Akhkhart --------- Eh Allah,...
-
Bismillahirrahmannirrahim Alhumdullilah kahne se Meezan bhar jata hain ---- Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya Alhu...
-
Bismillahirahmanirrahim اللَّهُمَّ صَلِّ عَلَى مُحَمَّد Allahumma Salli Ala Muhammed ----- Eh Allah Rahmat nazil ...
-
Bismillahirahmanirrahim ✦ Subah aur Sham ko RasoolAllah ﷺ par 10 baar durud bhejne ki fazilat -------------------- اللَّهُمَّ صَلِّ عَلَى مُ...
-
❗Only-Quran-Hadith-Quiz 792❗ Do sawal hain Sawal1: Salsabil kya hain ? A: Jannat ka ek ghar (Home) B: jannat ki hoor ( hoor) C: Jannat ki e...
-
❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗ Sawal: Ek aisi neiyamat hai joh RABB kisi se lele aur wo usper sabar kare toh Allah Subhanahu usko ajar aur sawab ...
-
❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗ Sawal: Kaunse se bande ko Allah Subahanhu Muazziz bana deta hai A: jo apne bhai ke liye bhi wahi pasand karta hai j...
-
Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Jab Momin ye amal karta hai uss waqt wo Momin nahi rehta hain ---- Un se Abu Huraira Radi Allahu Anhu ne k...
-
❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗ Teen sawal hain jawan 1A, 2B,3C aisa dijiye! Sawal1: Yh misaal ki shaqs ke liye hai jo oont ki qurbani karta h...
No comments:
Post a Comment