❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗
Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ko ek baar ek sahabi nahi mile to dusre sahabi ne Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam se farmaya ke wo unki khabar un tak pahochayege jab wo sahabi unke ghar pahoche to dehka ke wo sahbai sir jukaye baithy thy?
Sawal: wo sahabi kis wajah se pareshan/bure haal mein thy aur wo samjh baithy ke wo dozakiyo mein se hai
A: unke salam ka jawab Nabi Sallallahu Alaihi wasallam ne nahi diya tha
B: wo Nabi Sallallahu Alaihi wasallam ke saath Jihad mein shamil nahi ho sake
C: wo Quran ko onchi aawaz mein padha karte thy
D: Khutba ke dauran fuzul baato mein padh jate thy
E: Khutba sunne Masjid mein sab se aakhi mein pahochte thy
F: wo bahut uchi awaz mein baat kiya karte thy
G: Inmein se koi nahi
H: Sahi Jawab ka intezaar?
*********************
Sahi Jawab - G✅
{Nabi Kareem Sallallahu Alaihi wasallam ke samnay Aap Sallallahu Alaihi wasallam se bhi onche aawaz mein bola karte thy}
Reference📚:
---------
Nabi Kareem Sallallahu Alaihi wasallam ko ek din Thabit bin Qais RadiAllahu Anhu nahi miley to ek sahabi ne kaha Ya Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam mein aap ke liye un ki khabar lata hon chunancha woh un ke yahan aaye to dekha ke apne ghar mein sir jukaye baithy hain, unhon ny poocha ke kya haal hai? Unhon ne kaha ke bura haal hai un ki aadat thi ke Nabi Kareem Sallallahu Alaihi wasallam ke samnay Aap Sallallahu Alaihi wasallam se bhi onche aawaz mein bola karte they. unhon ny kaha isi liye mera amal ghaarat ho gaya aur mein dozakiyo mein ho gaya hon woh sahabi Nabi Kareem Sallallahu Alaihi wasallam ki khidmat mein haazir huwe aur Aap Sallallahu Alaihi wasallam ko ittila di ke Thabit Radi Allah Anhu yun keh rahe hain. Moose bin Anas RadiAllahu Anhu ne bayan kiya, lekin doosri martaba wohi sahabi Saabit radi Allahu Anhu ke paas ek barri khushkhabri le kar wapas huwe. Aap Sallallahu Alaihi wasallam ne unse farmaya tha ke Saabit ke paas jao aur is se kaho ke woh ahal Jahannum mein se nahi hain balkay woh Ahal Jannat mein se hain.
----------
Narrated Anas bin Malik: The Prophet (ﷺ) noticed the absence of Thabit bin Qais. A man said, "O Allah's Messenger (ﷺ)! I shall bring you his news." So he went to him and saw him sitting in his house drooping his head (sadly). He asked Thabit, "What's the matter?" Thabit replied, "An evil situation: A man used to raise his voice over the voice of the Prophet (ﷺ) and so all his good deeds have been annulled and he is from the people of Hell." The man went back and told the Prophet (ﷺ) that Thabit had said so-and-so. (The sub-narrator, Musa bin Anas said, "The man went to Thabit again with glad tidings)." The Prophet (ﷺ) said to him, "Go and say to Thabit: 'You are not from the people of Fire, but from the people of Paradise."
----------
Sahih Hadees
Sahih Bukhari Hadees # 3613
Alhumdulillah beautifully designed Islamic Images in Arabic, Azkar Quran Short Ayat Dua.
Islamic Images
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo
Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...
-
Bismillahirrahmanirrahim Jannat kahti hai ki YA ALLAH isko jannat mein dakhil farma ----------------- Rasool-Al...
-
Bismillahirahmanirrahim Wa antum fa JazakAllahu khairan --- Aur aapko bhi Allah aapko bhi achcha Sila ataa farmaye --- And you ...
-
Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...
-
Bismillahirrahmannirrahim اللَّهُمَّ اسْتُرْ عَوْرَتِي وَآمِنْ رَوْعَاتِي Allahummastur awrati, wa amin raw'ati ----- Eh Allah Mere A...
No comments:
Post a Comment