❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗
Do sawal hai!
Badar ki ladayi mein ek sahaba teer lagne se Shaheed hogaye thy toh unki walida bahut pareshan thi aur wo Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ke khidmat mein hazir huwi tab Raool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne unka haal dehk kar kuch arz kiya?
Sawal1: wo sahaba kaun thy joh Shaheed hogaye thy?
A: Muaaz Bin Jabal Radi Allahu Anhu
B: Aamir Bin Rabia Radi Allahu Anhu
C: Ammar Bin Yasir Radi Allahu Anhu
D: Harisa bin Suraqa Ansari Radi Allahu Anhu
E: Dihyah Al-Kalbi Radi Allahu Anhu
F: Musaib Ibn Umair Radi Allahu Anhu
G: Khalid Bin Walid Radi Allahu Anhu
H: Inmein se koi nahi
Sawal2: Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne un sahabhi ki walida se kya irshad farmaya?
A: wo Jannat ul Firdous mein hain
B: wo Jannat Darul Maqam mein hain
C: wo Jannat ul Naeem mein hain
D: wo Jannat ul Salam mein hain
E: wo Jannat ul Mawa mein hain
F: wo Jannat ul Darul Khuld mein hain
G: wo Jannat ul Adan mein hain
H: In mein se koi nahi
I: Sahi Jawab ka intezaar
***************************
Sahi Jawab - DA✅
Reference📚:
----------
Harisa bin Suraqa Ansari RadiAllahu Anhu jo abhi nav umar ladke thy' Badar ke din shaheed hogaye they (pani peenay ke liye hauz par aaye thy ke ek teer ne shaheed kar diya) phir un ki walida (Rabiya Bint AlNaseer Anas RadiAllahu Anhu ki phuphi) Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ki khidmat mein haazir huwien aur arz kiya ya Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam! Aap ko maloom hai ke mujhe Harisa se kitna pyar tha. agar woh ab Jannat mein hai to mein is par sabr karoon gi aur Allah Subhanahu taala ki umeed rakhon gi aur agar kahin doosri jagah hai to aap dekh rahay hain ke mein kis haal mein hon Nabi Kareem Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya ”Allah Subhanhu tum par reham kare, kya dewaani ho rahi ho, kya wahan koi Ek Jannat hai? bohat si Jannaten hain aur tumhara beta Jannat Al Firdous mein hai.
------------
Sahih Bukhari Hadees # 3982- Sahih
Alhumdulillah beautifully designed Islamic Images in Arabic, Azkar Quran Short Ayat Dua.
Islamic Images
La Ilaha IllAllah
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo
Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...
-
❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗ Sawal: Wo kaun hain jinhe aakhirat mein Allah Subhanahu awaz denge to wo kahenge Labbaik wa Sa'daik A: Hajj k...
-
❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗ Sawal: Tauheed ka elaan karne wali surah kaunsi hai A: Surah Ikhlas B: Surah An Nas C: Surah Fatiha D: Surah Kafiro...
-
Bismillahirrahmanirrahim اَللّٰهُمَّ أَن تَجعَلَ القُرآنَ جِلَاءَ حُزنِي ------------ ✦Allahumma-An-TajAl-al- Qur'an jilaa-a Huzni ---...
-
Bismillahirrahmannirrahim Sakhti aur pareshani ke waqt padhne ki dua Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ko jab koi kaam sakht tak...
-
❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗ Jawab ek se ziyada hai❗ Sawal: Wo kaun log hai jinse Allah bughz rakhta hai A: Padosi ki biwi ke saath zina karne w...
-
Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Iss ummat ke aksar Munafiq Qaari honge ---- Aap Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya meri ummat ke aksar ...
-
Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam Namaz se salam phertey to ye dua padhte ---- Rasool-Allah Sallall...
-
Bismillahirrahmannirrahim Jo is dua ko subah sham padhega toh Allah Subhanahu Qayamat ke din usko jarur khush farma denge ----- Rasool-Allah...
-
❗ Only-Quran-Hadith Quiz❗ Jawab ek se ziyada hai Sawal: Iss Ummat mein wo kaunsi beemari ka zikr Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne...
-
❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗ Do sawal hai! Badar ki ladayi mein ek sahaba teer lagne se Shaheed hogaye thy toh unki walida bahut pareshan th...
No comments:
Post a Comment