Islamic Images

Islamic Images
La Ilaha IllAllah

Monday 3 February 2020

Ek baar ek sahabi Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam ke saath thy jab bhi koi samne se guzarta Raool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam uss shaqs ke baare mein kuch farmate thy jaise ki falah shaqs naik hai yh bura hai tabhi waha se ek sahabi guzre toh Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam ne farmaya yh Allah Subhanhu ka bahut acha banda hain?

❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Ek baar ek sahabi Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam ke saath thy jab bhi koi samne se guzarta Raool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam uss shaqs ke baare mein kuch farmate thy jaise ki falah shaqs naik hai yh bura hai tabhi waha se ek sahabi guzre toh Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam ne farmaya yh Allah Subhanhu ka bahut acha banda hain?

Sawal: wo Sahabi kaun thy jinke bare mein Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam ne farmaya wo Allah Subahnahu ka bahut acha banda hain?

A. Muaaz Bin Jabal Radi Allahu Anhu
B. Aamir Bin Rabia Radi Allahu Anhu
C. Abdullah Bin Masood Radi Allahu Anhu
D. Zaid Bin Harith Radi Allahu Anhu
E. Umar Radi Allahu Anhu
F. Ali Radi Allahu Anhu
G. Khalid Bin Walid Radi Allahu Anhu 
H.  Inmein se koi nahi (apna jawab likhe)

I. Sahi Jawab ka intezar hain

************

Sahi Jawab - G✅

Khaled Bin Walid RadiAllahu Anhu ki Shaan

Reference📚:
------
Abu Huraira RadiAllahu Anhu se riwayat hain kehte hai ke Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam ke saath thy, (log) guzarnay lagey. Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam Abu Huraira RadiAllahu Anhu yeh kaun hai? Mein kehta falan Aap Sallallahu Alahih Wasallam farmatay falan Allah ka naik bandah hai phir koi guzarta to Aap Sallallahu Alahih Wasallam farmatay Abu Huraira yeh kaun hain? Mein kehta falan Aap Sallallahu Alahih Wasallam farmatay falan Allah ka bandah yeh to bura aadmi hai hatta ke Khalid Bin Waleed RadiAllahu Anhu guzre to mein ne kaha Eh Allah ke Rasool Sallallahu Alahih Wasallam yeh Khalid Bin Waleed RadiAllahu Anhu hain Aap Sallallahu Alahih Wasallam ne farmaya Khalid, Allah Subhanhu ka bohat achchca bandah hain. Allah Subahnahu ki talwaron mein se ek talwar hain.
----------
ابو ہریرہ‌رضی اللہ عنہ سے مروی ہے، کہتے ہیں کہ ہم رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم کے ساتھ تھے، (لوگ) گزرنے لگے ۔ رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم فرماتے:ابو ہریرہ‌رضی اللہ عنہ ! یہ کون ہے؟ میں کہتا :فلاں ۔آپ صلی اللہ علیہ وسلم فرماتے :فلاں اللہ کا نیک بندہ ہے۔ پھر کوئی گزرتا تو آپ فرماتے: ابو ہریرہ! یہ کون ہے؟ میں کہتا فلاں۔ آپ فرماتے: فلاں اللہ کا بندہ یہ تو برا آدمی ہے۔ حتی کہ خالد بن ولید رضی اللہ عنہ  گزرے تو میں نے کہا: اے اللہ کے رسول صلی اللہ علیہ وسلم ! یہ خالد بن ولید رضی اللہ عنہ  ہیں۔ آپ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: خالد، اللہ کا بہت اچھا بندہ ہے۔ اللہ کی تلواروں میں سے ایک تلوار ہے۔
-------
Sahih Hadees
Al-Silsila-tus-Sahiha Hadees # 3597

No comments:

Post a Comment

Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo

Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...