❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗
do Sawal hai aur pehele sawal mein jawab ek se ziyada hain!
Ek Baar Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ek jung ke dauran mitti utha rahe thy tabhi uss mitti ne Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ke seenay ko dhaanp diya tha?
Sawal 1 : Aap Sallallahu Alaihi Wasallam uss waqt kuch ashaar padh rahe thy aur kuch zikr kar rahe thy? Wo kya farma rahe thy?
A. Seeda Rasta
B. Dilo ka Sukun
C. Hidayat
D. Sadqa
E. Itminan
F. Namaz
G. Zulm
H. Sabit qadam
I. Maal e Ganimat
J. Sahi jawab ka intezar hai
Sawal 2 : wo kaunsi Jung thi?
A. Ghazwa e Badr
B. Ghazwa e Ahzab
C. Ghazwa e Hunain
D. Ghazwa e Uhad
E. Suleh Hudaibiyah
F. Ghazwa e Tabooq
G. Inmein se koi nahi
H. Sahi jawab ka intezar hai.
***************
Sahi Jawab - 1. ABCDEFGH/2.B✅
Reference📚:
-----------
Al-Bara RadiAllahu Anhu ne bayan kiya ke mein ny dekha ke Ghazwah Ahzaab mein (khandaq khodte huwe ) Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam khud mitti utha rahay they yahan taq ke seenah mubarak ke baal mitti se hatt gaye they. Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ke (jism mubarak par) baal bohat ghany they is waqt Aap Sallallahu Alaihi Wasallam Abdullah bin Rawaha RadiAllahu Anhu ka yeh shair parh rahe they (tarjuma) ”Eh Allah ! agar teri hidaayat nah hoti to hum kabhi seedha rasta nah paate' nah sadqa kar satke aur nah namaz parhte ab to ya Allah ! hamaray dilon ko sukoon aur itminan ataa farma' aur agar (dushmanon se mud bhair ho jaye to hamein saabit qadam rakh' dushmanon ny hamaray oopar zayad-ti ki hai(yani Zulm. jab bhi woh hum ko fitnah fasaad mein mubtala karna chahtay hain to hum inkaar karte hain “. aap yeh shair buland aawaz se parh rahay they.
--------------
Narrated Al-Bara:I saw Allah's Messenger (ﷺ) on the day (of the battle) of the Trench carrying earth till the hair of his chest were covered with dust and he was a hairy man. He was reciting the following verses of `Abdullah (bin Rawaha): "O Allah, were it not for You, We would not have been guided, Nor would we have given in charity, nor prayed. So, bestow on us calmness, and when we meet the enemy. Then make our feet firm, for indeed, Yet if they want to put us in affliction, (i.e. want to fight against us) we would not (flee but withstand them)." The Prophet (ﷺ) used to raise his voice while reciting these verses
-------------
Sahih Hadees
Sahih al-Bukhari 3034
Alhumdulillah beautifully designed Islamic Images in Arabic, Azkar Quran Short Ayat Dua.
Islamic Images
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo
Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...
-
Bismillahirrahmanirrahim Jannat kahti hai ki YA ALLAH isko jannat mein dakhil farma ----------------- Rasool-Al...
-
Bismillahirahmanirrahim Wa antum fa JazakAllahu khairan --- Aur aapko bhi Allah aapko bhi achcha Sila ataa farmaye --- And you ...
-
Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...
-
Bismillahirrahmannirrahim اللَّهُمَّ اسْتُرْ عَوْرَتِي وَآمِنْ رَوْعَاتِي Allahummastur awrati, wa amin raw'ati ----- Eh Allah Mere A...
No comments:
Post a Comment