Islamic Images

Islamic Images
La Ilaha IllAllah

Monday 3 February 2020

Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne ek baar farmaya main tumhe ek aisee baat batata hu jo kisi nabee ne apni qaum ko nahi batayee wo baat kaunsi thi ya kiske bare mein thi


❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Sawal: Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne ek baar farmaya main tumhe ek aisee baat batata hu jo kisi nabee ne apni qaum ko nahi batayee wo baat kaunsi thi ya kiske bare mein thi 

A: Suraj ka mashreek se nikalna
B: Dajjal ke bare mein
C: Namaz aur Hajj ke bare mein
D: Jahannum ke bare 
E: Allah Subhanahu ke azab ke bare mein  
F: Qayamat ke bare mein  
G: Inmein se koi nahi

H: Sahi Jawab ka intezaar?

************************

Sahi Jawab - B✅

Reference📚:
-----------
Nabi Kareem Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya “kuy nah mein tumhe Dajjal ke mutaliq ek aisi baat bata doun jo kisi Nabi ne apni qoum ko ab taq nahi batayi woh kaana hoga aur Jannat aur Jahannum jaisi cheez laayega. pas jisay wo Jannat kahega dar haqeeqat wohi dozakh hogi aur mein tumhe is ke fitne se isi terhan darata hon, jaisay Noah Alehi Salam ne apni qoum ko daraya tha.
------------

 نبی کریم صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا ”کیوں نہ میں تمہیں دجال کے متعلق ایک ایسی بات بتا دوں جو کسی نبی نے اپنی قوم کو اب تک نہیں بتائی۔ وہ کانا ہو گا اور جنت اور جہنم جیسی چیز لائے گا۔ پس جسے وہ جنت کہے گا درحقیقت وہی دوزخ ہو گی اور میں تمہیں اس کے فتنے سے اسی طرح ڈراتا ہوں، جیسے نوح علیہ السلام نے اپنی قوم کو ڈرایا تھا۔“ 
------------
Sahih Hadees
Sahih Bukhari Hadees # 3338

No comments:

Post a Comment

Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo

Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...