❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗
Sawal: Rasool-Allah (ﷺ) ne ye kis ke bare mein irshad farmaya Allah Subahnahu ne usse zameen mein dhasa diya aur wo Qatamat tak us mein dhasta chala jayega.
A: Firoun
B: Abu Jahal
C: Abu Lahab
D: Shirk karne wala
E: Ahle bait se bughz rakhne wala
F: Zakat ada na karne wala
G: Inmein se koi nahi (apna jawab likhe)
H: Sahi Jawab ka Intezaar
*********************
Sahi Jawab - G✅
{Libaas pehan kar uske latke huwe libaas ko takabbur se dehkne wala shaqs}
Reference📚:
---------
Kareeb Rehma Allah Aleh se riwayat hai kehte hain ke mein Abu Lahab ki gali mein Ibn Abbas RadiAllahu Anhu ko le kar ja raha tha yeh is waqt ki baat hai jab un ki benaye khatam ho gayi thi. Ibn Abbas Radi Allahu Anhu kehnay lagey mein ne apne waalid se suna woh keh rahay they ke , Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam ne farmaya ek aadmi apna libaas pehan kar is ke latkay huwe kinare (taqqabur se) dekh raha tha achanak Allah Subhanhu ta’ala ne usay zameen mein dhansa diya, aur woh qayamat taq is mein dhansta chala jaye ga.
--------------
کریب رحمۃ اللہ علیہ سے مروی ہے کہتے ہیں کہ میں ابو لہب کی گلی میں ابن عباسرضی اللہ عنہ کو لے کر جا رہا تھا۔ یہ اس وقت کی بات ہے جب ان کی بینائی ختم ہو گئی تھی۔ ابن عباس رضی اللہ عنہما کہنے لگے:میں نے اپنے والد سے سنا وہ کہہ رہے تھے کہ رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا:ایک آدمی اپنا لباس پہن کر اس کے لٹکے ہوئے کنارے(تکبر سے)دیکھ رہا تھا اچانک اللہ تعالیٰ نے اسے زمین میں دھنسا دیا ،اور وہ قیامت تک اس میں دھنستا چلا جائے گا۔
------------
Sahih Hadees
Al-Silsila-tus-Sahiha Hadees # 3024
Alhumdulillah beautifully designed Islamic Images in Arabic, Azkar Quran Short Ayat Dua.
Islamic Images
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo
Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...
-
❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗ Sawal: Inmein se kaunse amal ke bare mein farmaya gaya hain ke ye Momeen ka behtareen amal hain A: Namaz B: Sila R...
-
❗Only-Quran-Hadith-Quiz 939❗ Jawab ek se Ziada hai! Sawal: Masjid mein Nabi Akram Sallallahu Alahih Wasallam ne kaunse kaam karne se mana f...
-
Bismillahirrhamanirrahim Aasan hisab ki dua ----- اَللّٰهُمَّ حَاسِبْنِىْ حِسَا بًا يَّسِيْرًا Allahumma Haasibni Hisaban Yasira --------- ...
No comments:
Post a Comment