Alhumdulillah beautifully designed Islamic Images in Arabic, Azkar Quran Short Ayat Dua.
Islamic Images
La Ilaha IllAllah
Monday, 3 February 2020
Quran aur Hadith ki roshni mein Allah Subhanahu ki rehamat se mutalliq kaunsi baate sahi hain?
❗ Only-Quran-Hadith Quiz ❗
Jawab ek se ziada hai
Sawal : Quran aur Hadith ki roshni mein Allah Subhanahu ki rehamat se mutalliq kaunsi baate sahi hain?
A. Jo ek baar durud padhta hai us par Allah ki 100 rahmat nazil hoti hain
B. Allah ki rahmat uske gusse par ghalib hai
C. Allah ne uski rahmat ke 99 hisse duniya mein bhej diye aur ek hissa apne paas rakha
D. Kaafir ko Allah ke paas mojud tamam Rahamt malum ho jaye jo wo jannat se na ummeed na ho
E. Allah ki Rahmat ek palde mein rakhe aur duniya ki sari cheeze dusre mein to rahmat wala palda bhari hoga
F. Allah ki rehmat se wahi log naummed hote hain jo kafir hain
G. Allah ki rehmat se naummed hona kabira gunah hai
H. Sahi Jawab ka intezar hai
*************************
Sahi Jawab BDFG✅
Reference📚:
---------
✦ Al Quran : Aur Allah ki rahmat se naummed na ho beshak Allah ki rahmat se wahi log na ummed hote hain jo kafir hain
Surah Yusuf (12), 87
-----
✦ Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya jab ALLAH taala makhluq ko paida kar chuka to Apni kitab (lohey mehfooz) jo unkey paas arsh par mojud hai usmein likha ki Meri Rahmat mere Ghazab( gussey) par ghalib hai
Sahih Bukhari, Vol 4, 3194
-----
✦ Ek Admee ne Kaha Ya Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam kabira gunah kya hain to Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya Allah Subhanahu Ke sath Shirk Karna Allah Subhanahu ki Shafqat se na umeed hona aur Allah Subhanahu ki Rahmat se Mayus hona
Al-Silsila-As-Sahiha 1050
------
✦ Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya ki ALLAH subhanahu ne Rahmat ko jis din banaya to uske 100 hisse kiye aur apne pass unmein se 99 rakhe iske baad tamam makhluq ke liye sirf Ek hissa Rahmat ka bheja, agar kaafir ko wo tamam Raham malum ho jaye jo ALLAH subhanahu ke pass hai to jannat se na ummeed na ho, aur agar momeen ko wo tamam Azab malum ho jaye jo ALLAH ke pass hai to wo Dozakh se kabhi bekhauff na ho
Sahih Bukhari, Vol 7, 6469
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo
Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...
-
❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗ Sawal: Wo kaun hain jinhe aakhirat mein Allah Subhanahu awaz denge to wo kahenge Labbaik wa Sa'daik A: Hajj k...
-
❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗ Sawal: Tauheed ka elaan karne wali surah kaunsi hai A: Surah Ikhlas B: Surah An Nas C: Surah Fatiha D: Surah Kafiro...
-
Bismillahirrahmanirrahim اَللّٰهُمَّ أَن تَجعَلَ القُرآنَ جِلَاءَ حُزنِي ------------ ✦Allahumma-An-TajAl-al- Qur'an jilaa-a Huzni ---...
-
Bismillahirrahmannirrahim Sakhti aur pareshani ke waqt padhne ki dua Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ko jab koi kaam sakht tak...
-
❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗ Jawab ek se ziyada hai❗ Sawal: Wo kaun log hai jinse Allah bughz rakhta hai A: Padosi ki biwi ke saath zina karne w...
-
Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Iss ummat ke aksar Munafiq Qaari honge ---- Aap Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya meri ummat ke aksar ...
-
Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam Namaz se salam phertey to ye dua padhte ---- Rasool-Allah Sallall...
-
Bismillahirrahmannirrahim Jo is dua ko subah sham padhega toh Allah Subhanahu Qayamat ke din usko jarur khush farma denge ----- Rasool-Allah...
-
❗ Only-Quran-Hadith Quiz❗ Jawab ek se ziyada hai Sawal: Iss Ummat mein wo kaunsi beemari ka zikr Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne...
-
❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗ Do sawal hai! Badar ki ladayi mein ek sahaba teer lagne se Shaheed hogaye thy toh unki walida bahut pareshan th...
No comments:
Post a Comment