Alhumdulillah beautifully designed Islamic Images in Arabic, Azkar Quran Short Ayat Dua.
Islamic Images
Saturday, 1 February 2020
Yh misal kis ke liye di gayi hai ke jaise tum mein se koi ghodi, ootni yh gaaye ke bache ki parwarish karta hain?
❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗
Sawal: Yh misal kis ke liye di gayi hai ke jaise tum mein se koi ghodi, ootni yh gaaye ke bache ki parwarish karta hain?
A: bewa aur miskeen ki parwarish karne wala
B: kisi bhuke ko khana khilane wala
C: Mazlum ki madat karne wala
D: kisi pyase ko pani pilane wala
E: kisi musafir ko rasta dikhane wala
F: namazo ki hifazat karne wala
G: Inmein se koi nahi
H: Sahi Jawab ka Intezaar
*************************
Sahi Jawab - G✅
Reference📚:
-------
Rasool- Sal-Allahu alaihi wasallam ne farmaya Allah Subhanahu taala sadqat ko qubool karta hai aur un ko dayen haath mein wusool karta hai, phir woh un ko yun badahta hai, jaisay tum mein se koi ghodi, oontni ya gaaye ke bache ki parwarish karta hai, yahan taq ke ek luqmah uhad pahad ke barabar ho jata hai. Waqiya ne apni riwayet mein kaha Aap Sal-Allahu alaihi wasallam ke is farmaan ki tasdeeq quran Majeed ki un ayaat se hoti hai : Allah Subahanhu apne bandon ki tauba qubool karta hai aur un ke sadqat ko pakar laita hai. (Surah Tauba 104) aur Allah Subhanahu sood ko khatam karna aur sadqat ko badhata hain (Surah Baqra 276)
---------
(Jamia Tirmaizi Hadith # 662 and Musnad Ahmed Hadees # 3356)
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo
Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...
-
Bismillahirrahmanirrahim Jannat kahti hai ki YA ALLAH isko jannat mein dakhil farma ----------------- Rasool-Al...
-
Bismillahirahmanirrahim Wa antum fa JazakAllahu khairan --- Aur aapko bhi Allah aapko bhi achcha Sila ataa farmaye --- And you ...
-
Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...
-
Bismillahirrahmannirrahim اللَّهُمَّ اسْتُرْ عَوْرَتِي وَآمِنْ رَوْعَاتِي Allahummastur awrati, wa amin raw'ati ----- Eh Allah Mere A...
No comments:
Post a Comment