Islamic Images

Islamic Images
La Ilaha IllAllah

Sunday 29 August 2021

Wo kounsi namaz hain jo Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ko sabse ziyada pasand thi aur hamesha padha karte thy aur uska qiyam bahut lamba kiya karte thy

 ❗ Only-Quran-Hadith-Quiz 783❗

Sawal : Wo kounsi namaz hain jo Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ko sabse ziyada pasand thi aur hamesha padha karte thy aur uska qiyam bahut lamba kiya karte thy

A : Tahajjud
B : Isha ki chaar rakaat sunnat
C : Asar ke chaar rakaat sunnat
D : Maghrib ke do rakaat sunnat
E : Zohar ki chaar rakat sunnat
F : Zohar ki do rakaat sunnat
G : In mein se koi nahi
H : Sahi jawab ka Intezaar
****
Sahi Jawab ✅E

Hadith: Zohar ki chaar rakat sunnat aur Fajar ki do rakat sunnat Namaz Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ko sabse ziyada pasand thi aur us per wo hameshgi kiya karte thy

Reference : 📚
---------
Qaboos apne waalid se bayan karte hain ke mere waalid ne ek aurat Aisha Radi Allahu Anha ki taraf bhaije, ke un se pooch kar aaye ke Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ko kaunsi namaz sab se ziyada pasand thi jis par hameshgi kiya karte thy? unhon ne kaha : Aap Sallallahu Alaihi Wasalam Zohar ke pehle chaar rakaat padha karte thy, aur un mein lamba qiyam kiya karte, ruku o sujud ahsan tareeqe se ada karte, aur jo namaz wo choda nahi karte thy, tandurust hone ya bemaar safar mein ho ya kasar mein wo Fajar se pehle ki do rakatein hain
----------
قابوس اپنے والد سے بیان كرتے ہیں كہ میرے والد نے ایك عورت عائشہ رضی اللہ عنہا كی طرف بھیجی، كہ ان سے پوچھ كر آئے كہ رسول  اللہ صلی اللہ علیہ وسلم كو كونسی نماز سب سے زیادہ پسند تھی جس پر ہمیشگی كیا كرتے تھے؟ انہوں نے كہا: آپ صلی اللہ علیہ وسلم ‌ظہرسے پہلے چار ركعت پڑھا كرتے تھے، اور ان میں لمبا قیام كیا كرتے ، ركوع و سجود احسن طریقے سے ادا كرتے، اور جو نماز وہ چھوڑ انہیں كرتے تھے، تندر ست ہوں یا بیمار سفر میں ہوں یا حضر میں وہ فجر سے پہلے كی دو ركعتیں ہیں
---------
Qaboos narrates to his father that my father sent a woman to Aisha RadiAllahu Anhuma to ask her which prayer the Prophet Sallallahu Alaihi wasallam liked the most and which he used to pray always. He said: The Prophet Sallallahu Alaihi wasallam used to recite four rak'ahs before Zohar, and he used to stay in them for a long time, perform bowing and prostration in the best way, and the prayers that he used to never leave, whether he was healthy or sick or on his journey or in the presence of Allah, are two rak'ahs before Fajar.
Al-Silsila-tus-Sahiha#696-Sahih

No comments:

Post a Comment

Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo

Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...