Islamic Images

Islamic Images
La Ilaha IllAllah

Saturday 18 July 2020

Jab Azan di jaati hai ya namaz ke liye pukara jata hai toh kya hota hai

❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Jawab ek se ziyada hain❗

Sawal: Jab Azan di jaati hai ya namaz ke liye pukara jata hai toh kya hota hai

A: Shaitan badi tezi ke saath peeth pher kar bhaag jata hai
B: Shaitaan Insan ke dil mein waswase daalta hai
C: Aasman ke darwaze khole diye jaate hai
D:  Farishte Allah Subhanahu ki hamd bayan karte hai
E: Jannat ke darwaze khol diye jata hai
F: Dua kabul ki jaati hai
G: Dozak ke darwaze band kar diye jate hai

H: Sahi jawab ka intezaar

******************

Sahi Jawab - ACF✅

Azan ya Namaz ke liye pukare jaane per Shaitaan tezi ke saath bhaag jata hai aur Aasman ke darwaze khole diye jaate hai aur dua kabul ki jaati hai
-----
Reference📚:
-----
Anas Bin Malik RadiAllahu Anhu se riwayat hai ke Nabi Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya  jab Namaz ke liye pukara jata hai to Aasman ke darwaze khol diye jate hain, aur dua Qubool ki jati hai
-----
انس‌رضی اللہ عنہ سے مروی ہے كہ نبی صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: جب نمازكے لئے پكارا جاتا ہے تو آسمان كے دروازے كھول دیئے جاتے  ہیں، اور دعا قبول كی جاتی ہے
----
Al-Silsila-tus-Sahiha#531-Sahih
-----
Abu Hurairah Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya Jab namaz ke liye azan di jati hai to Shaitan hawa kharij karta huwa badi tezi ke saath peeth pher kar bhagta hai taki Azan ki aawaz na sun  sakey aur jab azan khatam ho jati hai to phir wapas aa jata hai lekin jaisey hi  takbeer shuru hoti hai to phir peeth pher kar bhagta hai jab takbeer bhi khatam ho jati hai shaitan dobara aa jata hai aur namazi ke dil mein waswasey dalta hai kahta hai ki falah baat yaad kar.falah baat yaad kar. un baaton ko shaitan yaad dilata hai jiska usey (namazi ko) khayal bhi na tha aur phir us shaksh ko ye bhi yaad nahi rahta ki kitni Rakatein parhi hain
-----
نبی کریم صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا جب نماز کے کے لیے اذان دی جاتی ہے تو شیطان پادتا ہوا بڑی تیزی کے ساتھ پیٹھ موڑ کر بھاگتا ہے۔ تاکہ اذان کی آواز نہ سن سکے اور جب اذان ختم ہو جاتی ہے تو پھر واپس آ جاتا ہے۔ لیکن جوں ہی تکبیر شروع ہوئی وہ پھر پیٹھ موڑ کر بھاگتا ہے۔ جب تکبیر بھی ختم ہو جاتی ہے تو شیطان دوبارہ آ جاتا ہے اور نمازی کے دل میں وسوسے ڈالتا ہے۔ کہتا ہے کہ فلاں بات یاد کر فلاں بات یاد کر۔ ان باتوں کی شیطان یاد دہانی کراتا ہے جن کا اسے خیال بھی نہ تھا اور اس طرح اس شخص کو یہ بھی یاد نہیں رہتا کہ اس نے کتنی رکعتیں پڑھی ہیں۔
-----
Sahih Bukhari # 608-Sahih

No comments:

Post a Comment

Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo

Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...