Islamic Images

Islamic Images
La Ilaha IllAllah

Tuesday 10 March 2020

kaunse shaqs ke liye farmaya ke Farishtay unse unki nekiyon le li jayegi yh unke gunah is ke upar laad diya jayega?

❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Sawal: kaunse shaqs ke liye farmaya ke Farishtay unse unki nekiyon le li jayegi yh unke gunah is ke upar laad diya jayega?

A: jis ne apne bhai ko gali di
B: jis ne apne bhai ke ghar chori ki 
C: jis ne apne bhai ki islaha nahi ki 
D: jis ne apne bhai ki izzat yh maal mein zulm kiya 
E: jis ne apne bhai ke aib zahir kiye 
F: jis ne apne bhai se sila rehmi nahi ki
G: Inmein se koi nahi

H: Sahi Jawab ka Intezaar

Note agar jawab G hai toh sahi jawab likiye!

**************

Sahi Jawab - D✅

Reference📚:
-------
Abu Huraira RadiAllahu Anhu se riwayat hai ke Allah Subhanahu ta’ala is bande par reham farmaiye jis ne apne bhai ki izzat ki pa mali(bezzati) ya maal mein koi zulm kiya phir (Qayamat ke din) pakdae jaany se pehlay is ke paas aaya aur is se maffi maang li, aur wahan nah koi dinar hoga aur nah darham agar is ki neikian hoten toh iss ki nekiyon mein se le li jatein aur agar neikian nahi hote toh un ke Gunah, Farishtay is ke upar laad diye.
-----------
ابو ہریرہرضی اللہ عنہ سے مرفوعا مروی ہے کہ : اللہ تعالیٰ اس بندے پر رحم فرمائے جس نے اپنے بھائی کی عزت کی پامالی یا مال میں میں کوئی ظلم کیا پھر(قیامت کے دن) پکڑے جانے سے پہلے اس کے پاس آیا اور اس سے معافی مانگ لی، اور وہاں نہ کوئی دینار ہوگا اور نہ درہم اگر اس کی نیکیاں ہوتیں تو اس کی نیکیوں میں سے لے لی جاتیں اور اگر نیکیاں نہیں ہوتیں تو ان کےگناہ ،فرشتے اس کے اوپر لاد دیے
--------------
Sahih Hadees
Al-Silsila-tus-Sahiha Hadees # 115

No comments:

Post a Comment

Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo

Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...