Islamic Images

Islamic Images
La Ilaha IllAllah

Wednesday 11 March 2020

Istikhara karne ki Dua aur tareeqa



Bismillahirrahmanirrahim

✦Istikhara karne ki Dua aur tareeqa
-------------
✦Jabir bin Abdullah Radi allahu anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam  humko apne tamam kaamo mein istikhara karne ki is tarah taalim dete they jis TARAH  quran ki koi surah sikhlaate. Aap Sal-Allahu Alaihi farmate ki jab koi  ahem muaamla tumahre samne ho to farz ke alawa do rakat Nawafil parhne ke baad ye dua parhe

اللَّهُمَّ إِنِّي أَسْتَخِيرُكَ بِعِلْمِكَ وَأَسْتَقْدِرُكَ بِقُدْرَتِكَ، وَأَسْأَلُكَ مِنْ فَضْلِكَ الْعَظِيمِ، فَإِنَّكَ تَقْدِرُ وَلاَ أَقْدِرُ وَتَعْلَمُ وَلاَ أَعْلَمُ وَأَنْتَ عَلاَّمُ الْغُيُوبِ،اللَّهُمَّ إِنْ كُنْتَ تَعْلَمُ أَنَّ هَذَا الأَمْرَ خَيْرٌ لِي فِي دِينِي وَمَعَاشِي وَعَاقِبَةِ أَمْرِي عَاجِلِ أَمْرِي وَآجِلِهِ )ـ فَاقْدُرْهُ لِي وَيَسِّرْهُ لِي ثُمَّ بَارِكْ لِي فِيهِ)وَإِنْ كُنْتَ تَعْلَمُ أَنَّ هَذَا الأَمْرَ شَرٌّ لِي فِي دِينِي وَمَعَاشِي وَعَاقِبَةِ أَمْرِي  (فِي  أعَاجِلِ أَمْرِي وَآجِلِهِ)  فَاصْرِفْهُ عَنِّي وَاصْرِفْنِي عَنْهُ،وَاقْدُرْ لِي الْخَيْرَ حَيْثُ كَانَ ثُمَّ أَرْضِنِي بِهِ
---
✦Allahumma inni astakhiruka biilmika, Wa astaqdiruka bi-qudratika, Wa as'alaka min fadlik-al-`azeem Fa-innaka taqdiru Wala aqdiru, Wa taalamu Wala aalamu, Wa anta Allamulghuyub. Allahumma, in kunta taalam anna hazal amra khairun li fi dini wa maashi waaqibati Amri (ajili `Amri wa'ajilihi) Faqdirhu wa yas-sirhu li summa barik li Fihi,
Wa in kunta ta'lamu anna hazal amra shar-run li fi dini wa ma'ashi wa'aqibati `Amri ( fi ajili `Amri wa ajilihi) Fasrifhu anni wa asrifni anhu. Waqdur li al-khaira haitsu kana Summa ardini bihi.'

✦Tarjumah: Eh mere Allah ! Main  tujhse tere ilm ki badolat khair talab karta hu aur teri qudrat ki badolat tujh se taaqat mangta hu aur tere fazal e azeem ka talabgaar hu ke qudrat to hi rakhta hai aur mujhe koi qudrat nahi. ilm tujh hi ko hai aur mein kuch nahi jaanta aur to tamam posheeda baton ko janne wala hai.  Eh mere Allah  agar to jaanta hai ke ye kaam jis ke liye istikhara kiya ja raha hai mere deen duniya aur mere kaam ke anjaam ke aitbaar se mere liye behtar hai (ya mere liye waqti taur par aur anjaam ke aitbaar se yeh behtar hai ) to isko mere liye naseeb kar aur is ka husool mere liye aasaan kar aur phir is mein mujhe barket ataa kar aur agar to jaanta hai ke yeh kaam mere deen, duniya aur mere kaam ke anjaam ke aitbaar se bura hai. (ya mere liye waqti taur par aur anjaam ke aitbaar se yeh bura  hai )  to usko mujh se dur kar de aur mujhe bhi is se dur kar de. phir mere liye khair muqaddar farma de, jahan bhi woh ho aur is se mere dil ko mutmaen bhi kar day
Aap Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya ke is kaam ki jagah apne kaam ka naam le .
Sahih Bukhari, Vol 2,1166

No comments:

Post a Comment

Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo

Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...