❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗
Do sawal hai!
Ek baar ek sahabi ne ek hadith rivayat ki ke her bacha fitrat Islam par paida hota hai phir us ke Maa Baap usey Yahudi ya Nasrani ya Majusi bana dete hain phir un sahabi ne uske baad Quran ki ek aayat tilawat ki.
Sawal 1: Wo sahabi kaun thy?
A: Musab Bin Umair RadiAllahu Anhu
B: Jafar RadiAllahu Anhu
C: Salman Farsi RadiAllahu Anhu
D: Saad Bin Abi Waqqas RadiAllahu Anhu
E: Maaz Bin Jabal RadiAllahu Anhu
F: Abu Hurairah RadiAllau Anhu
G: In mein se koi nahi
H: Sahi Jawab ka intezaar?
Sawal 2: Wo aayat kaunse surah ki hai jo un sahabi ne tilawat ki thi?
A: Surah An Naml
B: Surah Al Ghafir
C: Surah Anam
D: Surah Ankaboot
E: Surah Hijr
F: Surah An Nahl
G: In mein se koi nahi
H: Sahi jawab ka intezar hai?
*********
Sahi Jawab - FG✅
Reference📚:
------------------
Ibn Shahab har is bachay ki jo wafaat pa gaya ho namaz e janaza parhte thy agarchay woh haraam he ka bacha kyun nah ho kyunkay is ki paidaiesh islam ki fitrat par huwi yani is soorat mein jab ke is ke walidain Musalman honay ke dawaydaar hon agar sirf Baap Musalman ho aur Maa ka mazhab Islam ke siwa koi aur ho jab bhi bacha ke ronay ki paidaiesh ke waqt agar aawaz sunai deti to is par namaz parhi jati lekin agar paidaiesh ke waqt koi aawaz nah aati to is ki namaz nahi parhi jati thi balkay aisay bachay ko kacha hamal gir janay ke darja mein samjha jata tha kyunkay Hazrat Abu Huraira RadiAllahu Anhu ny riwayat kiya hai ke Nabi Kareem Sallallahu Alahih Wasallam ny farmaya ke har bacha fitrat (Islam) par paida hota hai phir is ke Maa Baap usay yahoodi ya nasrani ya majoosi bana dete hain jis terhan tum dekhte ho ke janwar sahih salim bacha janata hai kya tum ny koi kaan kata huwa bacha bhi dekha hai? phir Abu Huraira RadiAllahu Anhu ny is aayat ko talawat kiya «فطرة الله التي فطر الناس عليها» (Surat ur Room 30) yeh Allah ki fitrat hai jis par is ny logon ko paida kiya hain.
------------------
ابن شہاب ہر اس بچے کی جو وفات پا گیا ہو نماز جنازہ پڑھتے تھے ۔ اگرچہ وہ حرام ہی کا بچہ کیوں نہ ہو کیونکہ اس کی پیدائش اسلام کی فطرت پر ہوئی ۔ یعنی اس صورت میں جب کہ اس کے والدین مسلمان ہونے کے دعویدار ہوں ۔ اگر صرف باپ مسلمان ہو اور ماں کا مذہب اسلام کے سوا کوئی اور ہو جب بھی بچہ کے رونے کی پیدائش کے وقت اگر آواز سنائی دیتی تو اس پر نماز پڑھی جاتی ۔ لیکن اگر پیدائش کے وقت کوئی آواز نہ آتی تو اس کی نماز نہیں پڑھی جاتی تھی ۔ بلکہ ایسے بچے کو کچا حمل گر جانے کے درجہ میں سمجھا جاتا تھا ۔ کیونکہ حضرت ابوہریرہ رضی اللہ عنہ نے روایت کیا ہے کہ نبی کریم صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا کہ ہر بچہ فطرت ( اسلام ) پر پیدا ہوتا ہے ۔ پھر اس کے ماں باپ اسے یہودی یا نصرانی یا مجوسی بنا دیتے ہیں جس طرح تم دیکھتے ہو کہ جانور صحیح سالم بچہ جنتا ہے ۔ کیا تم نے کوئی کان کٹا ہوا بچہ بھی دیکھا ہے ؟ پھر ابوہریرہ رضی اللہ عنہ نے اس آیت کو تلاوت کیا ۔ «فطرة الله التي فطر الناس عليها» الآية ” یہ اللہ کی فطرت ہے جس پر اس نے لوگوں کو پیدا کیا ہے ۔“
-----------------
Narrated Ibn Shihab: The funeral prayer should be offered for every child even if he were the son of a prostitute as he was born with a true faith of Islam (i.e. to worship none but Allah Alone). If his parents are Muslims, particularly the father, even if his mother were a non-Muslim, and if he after the delivery cries (even once) before his death (i.e. born alive) then the funeral prayer must be offered. And if the child does not cry after his delivery (i.e. born dead) then his funeral prayer should not be offered, and he will be considered as a miscarriage. Abu Huraira, narrated that the Prophet (ﷺ) said, "Every child is born with a true faith (i.e. to worship none but Allah Alone) but his parents convert him to Judaism or to Christianity or to Magainism, as an animal delivers a perfect baby animal. Do you find it mutilated?" Then Abu Huraira recited the holy verses: 'The pure Allah's Islamic nature (true faith i.e. to worship none but Allah Alone), with which He has created human beings.' " (30.30).
----------------
Reference : Sahih al-Bukhari 1358
In-book reference : Book 23, Hadith 112
USC-MSA web (English) reference : Vol. 2, Book 23, Hadith 440
Alhumdulillah beautifully designed Islamic Images in Arabic, Azkar Quran Short Ayat Dua.
Islamic Images
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo
Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...
-
Bismillahirahmanirrahim Wa antum fa JazakAllahu khairan --- Aur aapko bhi Allah aapko bhi achcha Sila ataa farmaye --- And you ...
-
Bismillahirrahmanirrahim Jannat kahti hai ki YA ALLAH isko jannat mein dakhil farma ----------------- Rasool-Al...
-
Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...
-
Bismillahirrahmannirrahim اللَّهُمَّ اسْتُرْ عَوْرَتِي وَآمِنْ رَوْعَاتِي Allahummastur awrati, wa amin raw'ati ----- Eh Allah Mere A...
No comments:
Post a Comment