Islamic Images

Islamic Images
La Ilaha IllAllah

Wednesday 11 March 2020

Kaunse se shaqs ke liye farmaya gaya hai ke wo jannat mein dhakil nahi honge?

❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Sawal:Kaunse se shaqs ke liye farmaya gaya hai ke wo jannat mein dhakil nahi honge?

A: Musalmam ki beizzati karne wala
B: Qarz lekar wapis nahi dene wala
C: Jhooti gawahi dene wala
D: Ehsan Jatlane wale
E: Bidat karne wale
F: Apne aulad ka inkaar karne wale
G: Inmein se koi nahi

H: Sahi Jawab ka Intezaar

❗Note: Agar jawab G hai toh sahi Jawab dijiye

***********

Sahi Jawab - D✅

Reference📚:
------
Abdullah bin Umar RadiAllahu Anhu se ruvayat hai ke Rasool-Allah Salalahu Alaihi Wasallam ne farmaya teen shakhs hain jin ki taraf qayamat ke din Allah subhanahu taala dekhega bhi nahi apne walidain ka nafarman, mardon ki mushabihat karne wali aurat, aur dhaiyus, aur teen shakhs hain jo Jannat mein daakhil nahi honge apne walidain ka nafarman, daimi sharaabii, aur de kar Ehsaan jatlane wala
-----
عبداللہ بن عمر  رضی اللہ عنہ سے مروی ہے كہ رسول اللہ  ‌صلی اللہ علیہ وسلم ‌نے فرمایا: تین شخص ہیں جن كی طرف قیامت كے دن اللہ تعالیٰ دیکھے گا بھی نہیں۔ اپنے والدین كا نافرمان، مردوں كی مشابہت كرنے والی عورت، اور دیوث، اورتین شخص ہیں جوجنت میں داخل نہیں  ہوں گے۔ اپنے والدین كا نافرمان، دائمی شرابی، اور دے كر احسان جتلانے والا۔
-----
Sahih Hadees
Al-Silsila-tus-Sahiha Hadees # 840

No comments:

Post a Comment

Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo

Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...