Islamic Images

Islamic Images
La Ilaha IllAllah

Wednesday 11 March 2020

woh kaun kaun si gawaahi hain jis ke bare mein RasoolAllah ﷺ ne farmaya ke aise shaksh ko Allah Subhanahu bahar haal Jannat mein dakhil karega goya us ka Aamaal kaise hi ho

❗Only-Quran-hadith-Quiz❗

Jawab ek se ziada hain

 Sawal:  woh kaun kaun si gawaahi hain jis ke bare mein RasoolAllah ﷺ ne farmaya ke aise shaksh ko Allah Subhanahu  bahar haal Jannat mein dakhil karega goya us ka Aamaal kaise hi ho

A: Allah Subhanahu ke siwa koi ma'bood nahi, wo yakta hai, us ka koi shareek nahi
 B: Muhammad ﷺ us ke bande aur Rasool hain
C: Isaa Alahi Salaam bhi Allah ke bande, aur us ke Rasool aur uska kalimah hain jo us ne Sayyidah Maryam Alaihis salaam ki taraf daala tha aur wo usi ki taraf se behji huwi rooh hain
D: Mazloom ki madad karne wala
E: Jahannum barr haq hain
F: Apne Nafs ki hifazat karne wala
G: Jannat barr haq hain

H: Sahi Jawab ka intezar hai

********

Sahi Jawab - ABCEG ✅

Reference📚:
-----------
Ubaadah Bin Samit RadiAllahu Anhu se riwayat hai, Rasoolullah ﷺ ne farmaya:

من شهد ان لا إله إلا الله وحده لا شريك له، وان محمدا عبده ورسوله، وان عيسى عبد الله ورسوله وكلمته القاها إلى مريم وروح منه، والجنة حق، والنار حق، ادخله الله الجنة على ما كان من العمل​

"Jo shaksh is baat ki gawaahi de ke: Allah Subhanahu ke siwa koi ma'bood nahi, wo yakta hai, us ka koi shareek nahi, aur Muhammad ﷺ us ke bande aur Rasool hain, aur Isaa 'Alahis Salaam bhi Allah ke bande, us ke Rasool aur uska kalimah hain jo us ne Sayyidah Maryam 'Alaihis Salaam ki taraf daala tha, aur wo usi ki taraf se behji huwi rooh hain, aur yeh ke Jannat bar-haq aur jahannum (bhi) bar-haq hai, tou aise shaksh ko Allah Subahnahu (bahar-haal) jannat mein dakhil karega khawah us ke aamaal kaise hi hon."
--------
Sahih Hadees
Sahih Bukhari hadees # 3435.

Sahih Muslim Hadees: 28

No comments:

Post a Comment

Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo

Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...