Islamic Images

Islamic Images
La Ilaha IllAllah

Tuesday, 21 April 2020

Sabse badi fazeelat wali neki kisse kaha gaya hai

❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Sawal: Sabse badi fazeelat wali neki kisse kaha gaya hai

A: Salam mein pehal karna
B: pani peelana
C: bhuke ko khana khilana 
D: La ilaha Illalaha kehna
E: SubhanAllahi wa biHamdihi, Subhan-Allahil-azeem kehna
F: Sila Rehami karna
G: Waledain ki kidmat karna
H: Inmein se koi nahi

I: Sahi Jawab ka intezaar

Note agar apka jawab "H" hai toh sahi jawab likhiye

**************

Sahi Jawab - D✅

Sabse ziyada fazeelat wali neki La ilaha Illalaha kehna hain

Reference📚:
--------
Sayedna Abu Zar RadiAllahu Anhu se rivayat hain wo kehte hai ke mein ne kaha Eh Allah ke Rasool Sallallahu  Alaihi Wasallam apo mujhe wasiyat kariye Allah ke Rasool Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya jab buraiee hojaye to iss ke baad neki karo taakay wo buraiee ke asar ko mitta de. Mein ne kaha Eh Allah ke Rasool Sallallahu Alaihi wasallam kya La illaha illalaha ( لَا اِلٰہَ إِلَّا اللّٰہُ ) bhi neki hai? Aap Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya yh toh sabse ziyada fazeelat wali neki hai
------
 ۔ سیدنا ابو ذر  ‌رضی ‌اللہ ‌عنہ سے مروی ہے، وہ کہتے ہیں: میں نے کہا: اے اللہ کے رسول! آپ مجھے وصیت کریں، آپ ‌صلی ‌اللہ ‌علیہ ‌وآلہ ‌وسلم  نے فرمایا:  جب برائی ہو جائے تو اس کے بعد نیکی کر، تاکہ وہ برائی کے اثر کو مٹا دے۔  میں نے کہا: اے اللہ کے رسول! کیا لَا اِلٰہَ إِلَّا اللّٰہُ بھی نیکی ہے؟ آپ ‌صلی ‌اللہ ‌علیہ ‌وآلہ ‌وسلم  نے فرمایا:  یہ تو سب سے زیادہ فضیلت والی نیکی ہے۔  
-----
Sahih Hadees
Musnad Ahmed Hadees # 5423

No comments:

Post a Comment

Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo

Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...