Islamic Images

Islamic Images
La Ilaha IllAllah

Tuesday 7 September 2021

Jisne dikhawe ke liye Allah ke raaste mein maal kharch kiya usey jahannum mein phaink diya jayega

 Bismillahirrahmannirrahim 

Hadith: Jisne dikhawe ke liye Allah ke raaste mein maal kharch kiya usey jahannum mein phaink diya jayega
-------
Abu Hurairah Radi Allahu Anhu  ne kaha mein ne Rasool-Allah Sallallahu Alaihi  wasallam se suna farma rahe they sab se pehla shakhs jis ke khilaaf Qayamat ke din faisla kiya jaye ga, wo shakhs hoga jisay (duniya main) shaheed samjha jata hoga . Usse laya jaye ga, Allah Subhanahu usse apni naematain gawaega wo un ka aitraaf kare ga. Allah Subhanahu farmaye ga : un ke badlay tum nae kya kiya? wo kahe ga mein shaheed honay tak teray rastay mein qitaal kar ta raha. Allah Subhanahu farmaye ga : Tu jhoot bolta hai, tum nay to is liye qitaal kiya takey tumhe bahadur kaha jaye, aur ye baat duniya mein kah di gayi . Pir is ke barey mein hukum diya jaye ga to isey muh ke bal ghaseet kar jahannum mein phaink diya jaye ga. Dosra wo shakhs hoga jis nay ilm (deen) sikha aur sikhaya hoga, aur Quran padha hoga usay laya jaye ga Allah Subhanahu usay apni naematain ganwaye ga aur WO iska aitraaf kare ga. Allah Subhanahu farmaye ga : tunay un ke badle kya amal kiya? woh kahe ga : mein ne ilm sikha aur sikhaya aur teray liye quran parhta raha. Allah Subhanahu farmaye ga. Tu jhoot bolta hai tum nay to ilm is liye sikha takey  tumhe aalim kaha jaye aur quran is liye parha takey tumhe qaari kaha jaye. to ye baat duniya mein kah di gayi. phir is ke barey mein hukum diya jaye ga to isey ghaseet kar muh ke bal jahannum mein phaink diya jaye ga. Aur teesra wo shakhs hoga jisay Allah Subhanahu ne maal daulat ki farawani di hogi usay laya jaye ga, Allah Subhabahu usse apni naematain gawaega woh un ka aitraaf karega. Allah Subhanahu farmaye ga : tune un ke badlay kya kiya? wo kahe ga : mein ne teray har is rastay mein kharch kiya jis mein tu chahta tha ke kharch kiya jaye. Allah Subhanahu farmaye ga : Tu jhoot bolta hai, tunay to ye kam is liye kiya tha, takey tujhe sakhi (Faragh dil wala) kaha jaye aur ye baat duniya mein kah di gayi hai. phir is ke bare mein hukm diya jaye ga to isey bhi ghaseet kar jahannum mein phaink diya jaye ga.
------
ابوہریرہ‌رضی اللہ عنہ نے كہا: ہاں میں نے رسول اللہ  ‌صلی اللہ علیہ وسلم ‌سے سنا فرما رہے تھے: سب سے پہلا شخص جس كے خلاف قیامت كے دن فیصلہ كیا جائے گا، وہ شخص ہوگا جسے(دنیامیں)شہید سمجھا جاتا ہوگا۔ اسے لایا جائے گا، اللہ تعالیٰ اسے اپنی نعمتیں گنوائے گا وہ ان كا اعتراف كرے گا۔ اللہ فرمائے گا: ان كے بدلے تم نے كیا كیا؟ وہ كہے گا میں شہید ہونے تك تیرے راستے میں قتال كر تا رہا۔ اللہ تعالیٰ فرمائے گا: توجھوٹ بولتا ہے، تم نے تواس لئے قتال كیا تاكہ تمہیں بہادر كہا جائے، اور یہ بات دنیا میں كہہ دی گئی۔ پھر اس كے بارے میں حكم دیا جائے گا تواسے منہ كے بل گھسیٹ كر جہنم میں پھینك دیا جائے گا۔ دوسرا وہ شخص ہوگا جس نے علم(دین) سیكھا اور سكھایا ہوگا، اور قرآن پڑھا ہوگا اسے لایا جائے گا اللہ تعالیٰ اسے اپنی نعمتیں گنوائے گا اور كا اعتراف كرے گا۔ اللہ تعالیٰ فرمائے گا: تونے ان كے بدلے كیا عمل كیا ؟ وہ كہے گا: میں نے علم سیكھا اور سكھایا اور تیرے لئے قرآن پڑھتا رہا۔ اللہ تعالیٰ فرمائے گا: توجھوٹ بولتا ہے تم نے توعلم اس لئے سكھاا تاكہ تمہیں عالم كہا جائے اور قرآن اس لئے پڑھا تاكہ تمہیں قاری كہا جائے۔ تویہ بات دنیامیں كہہ دی گئی ۔ پھر اس كے بارے میں حكم دیا جائے گا تواسے گھسیٹ كر منہ كے بل جہنم میں پھینك دیا جائے گا۔ اور تیسرا وہ شخص ہوگا جسے اللہ تعالیٰ نے مال ودولت كی فراوانی دی ہوگی اسے لایا جائے گا، اللہ تعالیٰ اسے اپنی نعمتیں گنوائے گا وہ ان كا اعتراف كرے گا ۔اللہ تعالیٰ فرمائے گا: تونے ان كے بدلے كیا كیا؟ وہ كہے گا: میں نے تیرے ہر اس راستے میں خرچ كیا جس میں توچاہتا تھا كہ خرچ كیا جائے۔ اللہ تعالیٰ فرمائے گا: توجھوٹ بولتا ہے، تونے تویہ كام اس لئے كیا تھا، تاكہ تجھے سخی كہا جائے اور یہ بات دنیا میں كہہ دی گئی ہے۔پھر اس كے بارے میں حكم دیا جائے گا تواسے بھی گھسیٹ كر جہنم میں پھینك دیا جائے گا
------
Al-Silsila-tus-Sahiha# 990-Sahih

No comments:

Post a Comment

Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo

Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...