Islamic Images

Islamic Images
La Ilaha IllAllah

Sunday 17 January 2021

Mafhum e hadith ke mutabiq inmein se kaunse shaqs ke liye khushkhabri hain ?

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Sawal: Mafhum e hadith ke mutabiq inmein se kaunse shaqs ke liye khushkhabri hain ?

A: Jiski Umar lambi ho aur wo neik amal kare
B: Jiski Aulad neik ho
C: Duniya parasti mein mashgul na hona wale ke liye
D: Jiski aulad zyada ho aur wo neik ho
E: waledain ki khidmat karne wale ke liye
F: Islam mein bhudhe hone wale ke liye 
G: Inmein se koi nahi
H: Sahi Jawab ka intezaar
*********
Sahi Jawab - A✅

Jis shakhs ki umar lambi ho aur wo neik amal kare uss ke liye khushkhabri hain

Reference📚:
------------------
Abdulla bin busr Mazni RadiAllahu Anhu kehte hain ke do badu Rasool- Allah sallallahu alaihi wasallam ke paas aaye Ek ne kaha Eh Allah ke Rasool Sallallahu Alaihi wasallam! Kaunsa shakhs behtar hain? Aap Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya is shakhs ke liye khushkhabri ho jis ki Umar lambi huwi, aur is ne naik aamaal kiye dusre shakhs ne kaha kaunsa Amal behtar hain? Aap Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya ke Behtareen Amal ye hain ke tum duniya se is terhan jao ke tumhari zubaan Allah Subahnahu ke zikar se tar ho.
--------------
عبداللہ بن بسر مازنی کہتے ہیں کہ دو بدو رسول اللہ  صلی اللہ علیہ وسلم کے پاس آئے ۔ایک نے کہا: اے اللہ کے رسول! کونسا شخص بہتر ہے؟ آپ  صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: اس شخص کے لئے خوشخبری ہو جس کی عمر لمبی ہوئی ،اور اس نے نیک اعمال کئے۔ دوسرے شخص نے کہا: کونسا عمل بہتر ہے؟ آپ  صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا کہ: بہترین عمل یہ ہے کہ تم دنیا سے اس طرح جاؤ کہ تمہاری زبان اللہ کے ذکر سے تر ہو
-----------
Al-Silsila-tus-Sahiha Hadees # 2864-Sahih

No comments:

Post a Comment

Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo

Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...