❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗
Jawab ek se zaiyda hain!
Sawal: Inmein se Jannat mein Salamati, Magfirat aur wajib karne wale ya dhakil karne wale kaun kaunse amal hain?
A: Takkabur se bachna
B: Khana Khilana
C: Salam ko aam karna
D: Jhooth se bachna
E: Sabr
F: Tahajjud ki namaz padhe
G: Achi baat karna
H: Rishtedaron se acha suluq karna
I: Bukhl se bache
J: Yateem ki parwarish karna
K: Acha Akhlaq
L: Sahi Jawab ka Intezaar?
***********************
Sahi Jawab - BCFHGK✅
Reference📚:
-----------
Abdullah bin salam Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki jab Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam madina tashreef laaye to log Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam kay istaqbal ke liye daudhte huye aaye aur kahne lage ki Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam tashreef la chuke hain (aisa teen baar kaha). main bhi dekhne ke liye aaya Maine jab Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ka chehra mubarak wazeh dekha to maine kaha ye kisi jhoote shakhs ka chehra nahi ho sakta. pahli baat jo mai ne Aap Sallallahu Alaihi Wasallam se suni wo ye thi ki Eh logo Salam ko aam karo, Khana khilao, Rishtedariyan milao (yani ristedaro ke saath achcha suluq karo), Raato ko namaz padho jab log so rahe hon (Tahajjud), (ye sare amal karne se) tum jannat mai salamati ke sath dakhil ho jaoge.
Sunan Ibn Majah, Jild 3, 132 -Sahih
----------
Hani ban Yazid RadiAllahu Anhu se riwayat hai ke mein ney kaha : Eh Allah ke Rasool Sallahu Alahi waSallam mujhe kisi aisay amal ki rehnumai kijiye jo mujhe Jannat mein daakhil karde Aap Sallahu Alahi waSallam ne farmaya yaqeenan maghfirat ko wajib karne wali cheezon mein se Salam phelana aur achchi baat karna hai
Al-Silsila-tus-Sahiha Hadees # 299
------------
Hani RadiAllahu Anhu se riwayat hai ke jab woh Rasool-Allah Sallahu Alahi waSallam ke paas aaye to kaha Eh Allah ke Rasool Sallahu Alahi waSallam! konsa amal jannat wajib karta hai? Aap Sallahu Alahi waSallam ney farmaya : achcha Akhlaq aur khana khilana lazim karlo.
Al-Silsila-tus-Sahiha Hadees # 95
Alhumdulillah beautifully designed Islamic Images in Arabic, Azkar Quran Short Ayat Dua.
Islamic Images
La Ilaha IllAllah
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne aisa kyu kaha mein apne RABB ke Hasne ki wajah se Hans pada
❗Only-Quran-Hadith-Quiz - 950❗ Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne aisa kyu kaha mein apne RABB ke Hasne ki wajah se Hans pada Sawal...
-
Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...
-
❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗ Sawal: Wo amal kaunsa hai jiske liye Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne irshad farmaya ke woh sache dil se...
-
Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Jab Allah Subhanhu bande ke saat bhalayee ka irada karta hain to usay duniya mein he jaldi saza deta hain ...
-
Bismillahirrahmannirrahim نَسُوا اللّٰہَ فَنَسِیَہُمۡ ------- Yh Allah ko bhool gaye toh Allah ne bhi inhe bhula diya. -...
No comments:
Post a Comment