❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗
Sawal: wo kaunsi cheez hai joh Allah Subhanahu aur bande ke
beech mein aadhi aadhi taqseem hai?
A: Sadqa
B: Roza
C: Namaz
D: Hajj
E: Umrah
F: Aib
G: In mein se koi nahi
H: Sahi jawab ka intezaar?
Sahi Jawab – C✅
Reference📚:
Abu hurairah Radi allahu anhu se rivayat hai Rasool-Allah
sallallahu alaihi wasallam ne farmaya
Jisne namaz mein surah fatiha nahi padhi to uski namaz puri
nahi huyee aur uski namaz naqis (adhuri) hai, ye jumla Aap Sallallahu Alaihi
wasallam ne teen baar farmaya, Abu hurairah Radi allahu anhu se logo ne pucha
ki jab hum imam ke peeche ho to kya kare? Unhone kaha ki us waqt tum aahista se
surah fatiha padh liya karo, kyunki maine Rasool-Allah Sallallahu Alaihi
wasallam ko ye farmate huye suna hai ki
Allah subhanahu farmata hai namaz mere aur mere bando ke
darmiyan aadhi aadhi taqseem ho chuki hai aur mera banda jo sawal karta hai wo
pura kiya jata hai jab koi shakhs Al-hamdu lillahi Rabb il-'alamin kahta hai to
Allah subhanahu farmata hai ki mere bande ne meri tarif ki aur jab Ar-Rahman
Ar-Raheem kahta hai to Allah subhanahu farmata hai mere bande ne meri tausif
ki, aur jab banda Maliki yawmi-d-Din kahta hai to Allah subhanahu farmata hai
mere bande ne mere buzurgi bayan ki, aur ye bhi farmata hai ki mere bande ne
apne sab kaam mere supurd kar diye
aur namazi jab Iyya-ka na'budu wa iyya-ka nasta'in kahta hai
to Allah subhanahu farmata hai ye mere aur mere bande ke darmiyan ka muamla hai
mera banda jo sawal karega wo usko milega
phir jab namazi apni namaz mein Ihdinassirat al-mustaqim ,
Sirat al-lazina an'amta 'alai-him , Ghair il-Maghdubi 'alai-him wa la-d-dallin
kahta hai to Allah subhanahu farmata hai
ye sab mere is bande ke liye hai, jo wo talab karega usko
diya jayega
Sahih Muslim, Jild 2, 878
No comments:
Post a Comment