❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗
Sawal: Jab Musalman se qabar mein sawal kiya jayega ke unka
RABB, Nabi aur Deen ke baare mein toh Allah ke Farman ke mutabiq kaun log
gawahi denge?
A: Jo apni Jammat se jude rahe
B: Jo Imaan laate hain sachchi baat par
C: Jo jihad karte hain
D: Jo Neik kaam Allah ki raza ke liye karte hai
E: Jo Allah Subahnahu ka darr aur khauf karte thy
F: Jo har haal mein Allah ka shukar karte thy
G: Jo logo per Raham karte thy
H: Jo Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam per zayda
darood bhejte thy
I: Sahi Jawab ka Intezaar?
Sahi Jawab - B✅
Reference📚:
Barra Bin Azzab Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam se riwayat
karte hain, Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya jab musalman se qabar
mein (is ke RABB, Nabi aur Deen ke baare mein) sawal kiya jaye woh gawahi deta
hai ke Allah ke siwa koi mabood barhaq nahi aur yeh ke Mohammad Sallallahu
Alaihi Wasallam Allah ke Rasool hain yeh kehna Allah ke is farmaan ke mutabiq
hai Allah un logon ko jo imaan laatay hain sachhi baat par duniya o akhirat
mein saabit qadam rakhta hai aur ek riwayat mein Nabi Sallallahu Alaihi
Wasallam se riwayat hai, Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya (یُثَبّتُ اللہُ الَّذِیْنَ
امَنُوا بِالْقَوْلِ الثَّبِتِ فِی الْحَیَاۃِ
الدُّنْیَا وَ فِی
الْاٰخِرَۃِ) azaab qabar ke
baaray mein nazil huwi, poocha jaye ga tera RABB kaun hai? toh woh kahega Mera
RABB Allah hai aur mere Nabi Mohammad Sallallahu Alaihi Wasallam hain.
----------
براء بن عازب
ؓ ، نبی
ﷺ سے روایت
کرتے ہیں ، آپ
ﷺ نے فرمایا
:’’ جب مسلمان سے قبر
میں (اس کے
رب ، نبی
اور دین کے
بارے میں) سوال کیا
جائے وہ گواہی
دیتا ہے کہ
اللہ کے سوا
کوئی معبود برحق نہیں
اور یہ کہ
محمد (ﷺ) اللہ کے رسول
ہیں ۔ یہ
کہنا اللہ کے اس
فرمان کے مطابق
ہے :’’ اللہ ان لوگوں
کو جو ایمان
لاتے ہیں سچی بات
پر دنیا و
آخرت میں ثابت قدم
رکھتا ہے ۔‘‘
اور ایک روایت
میں نبی ﷺ
سے مروی ہے
، آپ ﷺ
نے فرمایا :’’ (یُثَبّتُ
اللہُ الَّذِیْنَ امَنُوا بِالْقَوْلِ الثَّبِتِ
فِی الْحَیَاۃِ الدُّنْیَا
وَ فِی الْاٰخِرَۃِ)
عذاب قبر کے بارے
میں نازل ہوئی
، پوچھا جائے
گا : تیرا رب کون
ہے ؟ تو
وہ کہے گا
: میرا رب اللہ
ہے اور میرے
نبی محمد (ﷺ)
ہیں ۔‘‘
------------
Sahih Hadees
Mishkat ul Masabeeh Hadees # 125
No comments:
Post a Comment