Islamic Images

Islamic Images
La Ilaha IllAllah

Thursday, 30 January 2020

"Eh hamare RAB teri Rahmat aur tera Ilm sab par hawi hai, jin logo ne tauba ki hai aur tere raste par chalte hain un sabko bakhsh de aur unhe dozakh ki aag se bacha"


Only-Quran-Hadith-Quiz

Sawal : Ye Dua kiski hai ?

"Eh hamare RAB teri Rahmat aur tera Ilm sab par hawi hai,  jin logo ne tauba ki hai aur tere raste par chalte hain un sabko bakhsh de aur unhe dozakh ki aag se bacha"

A. Jannat mein jaane wale logo ki
B. Jannat ka darogah
C. Rooh ko lene aane wale farishto ki
D. Musa alaihi salam ki
E. Shab-e-Qadr mein nazil hone wale farishto ki
F. Inmein se koi nahi

G. Sahi jawab ka intezar hai
Sahi Jawab - F
In mein se koi nahi
kyunki ye dua Arsh ko uthane wale farishte maangte hain
--------
الَّذِينَ يَحْمِلُونَ الْعَرْشَ وَمَنْ حَوْلَهُ يُسَبِّحُونَ بِحَمْدِ رَبِّهِمْ وَيُؤْمِنُونَ بِهِ وَيَسْتَغْفِرُونَ لِلَّذِينَ آمَنُوا
رَبَّنَا وَسِعْتَ كُلَّ شَيْءٍ رَّحْمَةً وَعِلْمًا
فَاغْفِرْ لِلَّذِينَ تَابُوا وَاتَّبَعُوا سَبِيلَكَ وَقِهِمْ عَذَابَ الْجَحِيمِ
--------------
Jo (Farishte) Arsh ko uthaye huye hain aur jo uske ird gird hain wo apne RABB ki hamd ke saath tasbeeh karte hain aur us par imaan laate hain aur imaan walo ke liye bakhshish maangte hain ki "Eh hamare RAB teri rahmat aur tera ilm sab par hawi hai, jin logo ne tauba ki hai aur tere raste par chalte hain un sabko bakhsh de aur unhe dozakh ki aag se bacha"

Surah Gafir (40) , Verse 7
-------------------
Those (angels) who bear the Throne (of Allah) and those around it glorify the praises of their Lord, and believe in Him, and ask forgiveness for those who believe (in the Oneness of Allah) (saying): "Our Lord! You comprehend all things in mercy and knowledge, so forgive those who repent and follow Your Way, and save them from the torment of the blazing Fire!

Surah Gafir (40) , Verse 7

No comments:

Post a Comment

Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo

Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...