❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗
Sawal: Mafhum-e-Hadith ke mutabiq sakht lanat wale kamo se
bacho.
Wo lanat wale kam kaunse hai?
A: Waldain ki na farmani karna
B: Padosi ki biwi se zina karna
C: Logo ki guzarne ki raaste par Qazaye hajat karna
D: Yateem ke maal ko kha lena
E: Rishtedaro ke sath bura sulook karna
F: Musalmaan mein apass mein ladayi karwana
G: In mein se koi nahi
H: Sahi jawab ka intezar hai?
Sahi Jawab - C✅
Reference📚:
Hazrat Abu Huraira RadiAllahu Anhu se riwayat hai ke
Rasool-Allah Sallalahu Alaihi wasallam ne farmaya “tum do sakht laanat walay
kamon se bachcho sahaba karaam ne arz ki Eh Allah ke Rasool Sallalahu Alaihi
wasallam! Sakht laanat walay woh do kaam kaun se hain? Aap ne farmaya “jo
insaan logon ki guzargah mein ya un ki saya daar jagah mein (jahan woh aaraam
karte hain) qazaye haajat karta hai (log un dono kamon par is ko sakht bura
bhala kehte hain.)
------------
Abu Huraira reported: The Messenger of Allah ( صلی اللہ علیہ
وسلم ) said: Be on your guard against two things
which provoke cursing. They (the companions present there) said: Messenger of
Allah, what are those things which provoke cursing? He said: Easing on the
thoroughfares or under the shades (where they take shelter and rest).
-----------
حضرت ابوہریرہ رضی
اللہ عنہ سے
روایت ہے کہ
رسول اللہﷺ نے
فرمایا : ’’تم دو
سخت لعنت والے
کاموں سے بچو
۔ ‘
‘ صحابہ
کرام نے عرض
کی : اے اللہ
کے رسول !سخت
لعنت والے وہ دو
کام کون سے
ہیں؟ آپ نے
فرمایا : ’’جو انسان
لوگوں کی گزرگاہ
میں یا ان
کی سایہ دار
جگہ میں ( جہاں وہ آرام
کرتے ہیں ) قضائے حاجت کرتا
ہے ( لوگ
ان دونوں کاموں
پر اس کو
سخت برا بھلا
کہتے ہیں
-----------
Sahih Hadees
Sahih Muslim Hadees # 618
No comments:
Post a Comment