Islamic Images

Islamic Images
La Ilaha IllAllah

Thursday 30 January 2020

Rasool-Allah (ﷺ) ne ye misal kiske liye di Kasturi se bhari thaili ki manind hai jis ki khushbu har jagah phail jati hai.


Only-Quran-Hadith-Quiz


Sawal: Rasool-Allah () ne ye misal kiske liye di Kasturi se bhari thaili ki manind hai jis ki khushbu har jagah phail jati hai.

A. Masjid mai paidal chal kar jane wala
B. Padosi ke sath husne sulook karne wala
C. Chupe hath se sadqa karne wala
D. Mujahed
E. Deeni Mazlis mein jane wale ke liye
F. Quran sekhne usey padhne aur uska ahtemam karne wala
G. Quran ka Aleem
H. In mein se koi nahi

I. Sahi jawab ka intezar hai



Sahi Jawab - F

Reference📚:

Abu Huraira Radi Allahu Anhu bayan karte hain, Rasool-Allah Sallalahu Alaihi wasallam ne farmaya “Quran sikho aur usay parho, kyunkay Quran seekhnay wala, usay parhnay aur is ka ihtimaam karne wala Kastoori se bhari huwi thaili ke manind hai jis ki khusbhoo har jagah phail jati hai, aur jis naay usay seekha lekin soya raha halaank woh Hafiz hai to woh kastoori ki band thaili ki terhan hai.
--------------
وَعَنْ أَبِي هُرَيْرَةَ قَالَ قَالَ رَسُولُ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ: «تَعَلَّمُوا الْقُرْآنَ فَاقْرَءُوهُ فَإِن مثل الْقُرْآن لمن تعلم وَقَامَ بِهِ كَمثل جراب محشو مسكا يفوح رِيحُهُ كُلَّ مَكَانٍ وَمَثَلُ مَنْ تَعَلَّمَهُ فَرَقَدَ وَهُوَ فِي جَوْفِهِ كَمَثَلِ جِرَابٍ أُوكِئَ عَلَى مسك» . رَوَاهُ التِّرْمِذِيّ وَالنَّسَائِيّ وَابْن مَاجَه
--------------
ابوہریرہ ؓ بیان کرتے ہیں ، رسول اللہ نے فرمایا :’’ قرآن سیکھو اور اسے پڑھو ، کیونکہ قرآن سیکھنے والا ، اسے پڑھنے اور اس کا اہتمام کرنے والا کستوری سے بھری ہوئی تھیلی کی مانند ہے جس کی خوشبو ہر جگہ پھیل جاتی ہے ، اور جس نے اسے سیکھا لیکن سویا رہا حالانکہ وہ حافظ ہے تو وہ کستوری کی بند تھیلی کی طرح ہے ۔‘‘    اسنادہ حسن ، رواہ الترمذی و النسائی و ابن ماجہ ۔
-----------------
Sahih Hadees
Mishkat ul Masabeeh Hadees # 2143

No comments:

Post a Comment

Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo

Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...