Islamic Images

Islamic Images
La Ilaha IllAllah

Thursday 30 January 2020

Mafuhm e hadith ke mutabiq har Musalman per sadqa lazim hai agar iske pass na ho toh isse kya karna cahahiye?



Only-Quran-Hadith-Quiz


Jawab ek se zayda hai! aur jawab tarteeb se de yani phele se baad

Sawal: Mafuhm e hadith ke mutabiq har Musalman per sadqa lazim hai agar iske pass na ho toh isse kya karna cahahiye?

A.  Buraye se ruka rahe
B.  Apne hath se kam kare aur sadqa de
C . Raste se taklif wali cheez ko hatama
D. Faqaeer hajat mand ki madad kare
E. Muskurana
F. Padosi ka huq ada karna
G. Naiki ka hukm kare
H. Apne bhai ki madad karna

I: Sahi jawab ka intezar hai


Sahi Jawab - BDGA

Reference📚:

Abu Moosa Ashairy Radi Allahu Anhu se riwayat hai ke har Musalman par sadqa lazim hai poocha gaya agar is ke paas nah ho to is baray mein aap ka kya khayaal hai? Unhon ny kaha ke woh apne haath se kaam kare, khud bhi faida uthaye aur sadqa bhi kare poocha gaya agar is ki bhi istetat na ho? kaha ke faqeer haajat mand ki madad kare poocha gaya agar is ki bhi taaqat na rakhay? kaha ke neki ka hukum kare poocha gaya agar is ki bhi taaqat na rakhay? unhon ny kaha buraiee se ruka rahe yahi is ka sadqa hai
------------
ابو موسیٰ اشعریرضی اللہ عنہ سے مرفوعا مروی ہے کہ: ہر مسلمان پر صدقہ لازم ہے۔ پوچھا گیا اگر اس کے پاس نہ ہو تو اس بارے میں آپ کا کیا خیال ہے؟ انہوں نے کہا کہ وہ اپنے ہاتھ سے کام کرے، خود بھی فائدہ اٹھائے اور صدقہ بھی کرے۔ پوچھا گیا اگر اس کی بھی استطاعت نہ ہو؟ کہا کہ فقیر حاجت مند کی مدد کرے۔ پوچھا گیا اگر اس کی بھی طاقت نہ رکھے؟ کہا کہ نیکی کا حکم کرے ۔ پوچھا گیا: اگر اس کی بھی طاقت نہ رکھے؟ انہوں نے کہا: برائی سے رکا رہے یہی اس کا صدقہ ہے
----------
Sahih Hadees
Al-Silsila-tus-Sahiha Hadees # 351

No comments:

Post a Comment

Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo

Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...