Islamic Images

Islamic Images
La Ilaha IllAllah

Tuesday 23 March 2021

Quran ke hisab se zakat/sadqa kitne tarah ke logo ko de sakte

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Sawal: Quran ke hisab se zakat/sadqa kitne tarah ke logo ko de sakte

A: 2
B: 3
C: 4
D: 5
E: 7
F: 8 
G: Inmein se koi nahi
H: Sahi Jawab ka Intezaar
***********
Sahi Jawab - F✅

Al-Quran: Zakat 8 qism ke logo mein dena wajib hain - Surah At-Tawba (09:60)

Reference📚:
-----
Beshak sadqat (zakaat) mehaz ghareebon aur mohtajon aur un ki vasuli par muqarrar kiye gaye kaarkanon aur aisay logon ke liye hain jin ke dilon mein islam ki ulfat paida karna maqsood ho aur ( mazeed yeh ke ) insani gardnon ko ( ghulami ki zindagi se ) azad karanay mein aur qarz daaron ke boojh utaarnay mein aur Allah ki raah mein ( jehad karne walon par ) aur musafiron par ( zakaat ka kharch kiya jana haq hai ). yeh ( sab ) Allah ki taraf se farz kiya gaya hai, aur Allah khoob jannay wala bari hikmat wala hai
-----
بیشک صدقات (زکوٰۃ) محض غریبوں اور محتاجوں اور ان کی وصولی پر مقرر کئے گئے کارکنوں اور ایسے لوگوں کے لئے ہیں جن کے دلوں میں اسلام کی الفت پیدا کرنا مقصود ہو اور (مزید یہ کہ) انسانی گردنوں کو (غلامی کی زندگی سے) آزاد کرانے میں اور قرض داروں کے بوجھ اتارنے میں اور اللہ کی راہ میں (جہاد کرنے والوں پر) اور مسافروں پر (زکوٰۃ کا خرچ کیا جانا حق ہے)۔ یہ (سب) اللہ کی طرف سے فرض کیا گیا ہے، اور اللہ خوب جاننے والا بڑی حکمت والا ہے
----
Zakah expenditures are only for the poor and for the needy and for those employed to collect [zakah] and for bringing hearts together [for Islam] and for freeing captives [or slaves] and for those in debt and for the cause of Allah and for the [stranded] traveler - an obligation [imposed] by Allah. And Allah is Knowing and Wise.
-----
Surah At-Tawba (09:60)

No comments:

Post a Comment

Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo

Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...