❗Only-Quran-Hadith-Quiz 944❗
Sawal: Wo kya cheez hai jiska tauq bana kar qayamat mein uske galle mein daal diya jayega jab tak le logon ka faisla nahi kar diya jayega?
A: Maal
B: Zameen
C: Zulm
D: Takkabur
E: Riyakari
F: Ibadat
G: Inmein se koi nahi (apna jawab likho)
H: Sahih jawab ka intezaar
********
Sahih Jawab - B✅
Bismillahirrahmannirrahim
Hadith: Jo shakhs agar zulm karte huyee balisht bhar zameen bhi hathiyayi to....
Reference📚:
----
Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya kisi bhi shakhs ne agar zulm karte huyee balisht bhar zameen hathiyayi to Allah Subhanahu usay is baat ka mukhalif banayen ge ke wo usay saat (7) zameenon tak khode phir is ka tauq bana kar qayamat tak is ke gallay mein daal diya jayega jab tak ke logon ka faisla na kar diya jaye
----
یعلی بن مرہ رضی اللہ عنہ سے مروی ہے كہ نبی صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: كسی بھی شخص نے اگر ظلم كرتے ہوئے بالشت بھر زمین ہتھیائی تو اللہ تعالیٰ اسے اس بات كا مكلف بنائیں گے كہ وہ اسے سات زمینوں تك كھودے۔ پھر اس كا طوق بنا كر قیامت تك اس كے گلے میں ڈال دیا جائے گا جب تك کہ لوگوں كا فیصلہ نہ كر دیا جائے
----
Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam said, “If anyone wrongly takes a span of land Allah who is great and glorious will make him dig it till he gets to the end of seven earths, and then he will have it tied round his neck till the day of resurrection until men are judged.”
----
Al-Silsila-Tus-Sahiha#1624
No comments:
Post a Comment