Islamic Images

Islamic Images
La Ilaha IllAllah

Monday 21 March 2022

Kaun kaunse amal karte waqt ye farmaya gaya hain ke banda momeen nahi hota

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz 893❗


Jawab ek se zayda hain


Sawal: Kaun kaunse amal karte waqt ye farmaya gaya hain ke banda momeen nahi hota 


A: Sharab peene wala
B: loot karne wala
C: Zulm karne wala
D: Khayanat karne wala
E: Chori karne wala
F: Juwaa khele wala
G: Zina karne wala
H. Gaali dene wala
I.  Jhoot bolne wala
J. Na haq qatal karne wala
  K.Sahih Jawab ka intezaar
*****
Sahih Jawab - ABDEGJ✅


Hadith: Jab koi Zina, Khayanat Chori, Sharab Loot maar aur Qatal karta hain to wo uss waqt Momeen nahi rehta


Reference📚:
--------
Hazrat Abu Huraira RadiAllahu Anhu bayan karte hain ke Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya Jis waqt Zaani Zina karta hain to wo is waqt Momin nahi hota Jis waqt Chor Chori karta hain to is waqt wo Momin nahi hota, jab wo Sharaab peeta hai to Sharaab noshi ke waqt wo Momin nahi hota, Jab Lootne wala lootta hai to wo lootne ke waqt Momin nahi hota jabke log ussay dekh rahe hote hain aur jab khayanat karne wala khayanat karta hai to wo is waqt momin nahi hota pus tum bach jao bach jao
---
حضرت ابوہریرہ ؓ بیان کرتے ہیں ، رسول اللہ ﷺ نے فرمایا :’’ جس وقت زانی زنا کرتا ہے تو وہ اس وقت مومن نہیں ہوتا ، جس وقت چور چوری کرتا ہے تو اس وقت وہ مومن نہیں ہوتا ، جب وہ شراب پیتا ہے تو شراب نوشی کے وقت وہ مومن نہیں ہوتا ، جب لوٹنے والا لوٹتا ہے تو وہ لوٹنے کے وقت مومن نہیں ہوتا جبکہ لوگ اسے دیکھ رہے ہوتے ہیں اور جب خیانت کرنے والا خیانت کرتا ہے تو وہ اس وقت مومن نہیں ہوتا ۔ پس تم بچ جاؤ ، بچ جاؤ ۔‘‘ متفق علیہ رواہ البخاری (۲۴۷۵) و مسلم ۔
---
It was narrated from Abu Hurairah that the Messenger of Allah (ﷺ) said:
“The adulterer, at the time he is committing adultery, is not a believer; (the wine drinker) at the time he is drinking, is not a believer; the thief, at the time he is stealing, is not a believer; the plunderer, at the time he is plundering with the people looking on, is not a believer.” and when a betrayer betrays he is not a believer so you save yourself save yourself.
----
Mishkat ul Masabeeh#53-Sahih
------------
Hazrat Ibn Abbas Radi Alllahu anhu se rivayat hai Rasool-Allah Sallallahu Alaihi  wasallam ne farmaya jab koi banda Zina karta hai to wo Momin nahi rehta, jab koi banda Sharab peeta hai to Momin nahin rehta, jab koi banda Chori karta hai to Momin nahi rehta aur Qatal karta hain to bhi  Momin nahi rehta..
----
حضرت ابن عباس رضی اللہ عنہ سے روایت ہے کہ رسول اللہ  ﷺ  نے فرمایا :’’ جب کوئی بندہ زنا کرتا ہے تو وہ مومن نہیں رہتا ۔ جب کوئی شراب پیتا ہے تو شراب پیتے وقت مومن نہیں رہتا ۔ جب کوئی چوری کرتا ہے تو مومن نہیں رہتا اور قتل کرتا ہے تو بھی مومن نہیں رہتا ۔‘‘ 
---
It was narrated that Ibn 'Abbas said: The Messenger of Allah said: 'No one who commits Zina is a believer at the moment when he is committing Zina, and no one who drinks wine is a believer at the moment when he is drinking it, and no thief is a believer at the moment when he is stealing, and no killer is a believer at the moment he is killing 
---
Sunnan e Nasai # 4873-Sahih

No comments:

Post a Comment

Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo

Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...