Islamic Images

Islamic Images
La Ilaha IllAllah

Thursday 31 December 2020

kaunse amal ke sabab bande ke gunah aise jhadte hain jaise darakht se patte

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Jawab ek se ziyada hain!

Sawal: kaunse amal ke sabab bande ke gunah aise jhadte hain jaise darakht se patte

A. Momeen jab Salaam karta hain, aur fir musafah karta hain
B. SubhanAllah walhamdullilah wa la ilaha illahu waAllahu Akbar
C. Namaz padhna
D. SubhanAllah walhamdullilah wa la ilaha illahu waAllahu Akbar, la hawla wala quwwata illah billah
E. Raste se koi takleef de cheez hatana
F. Bhukaar
G. Hajj 
H. Quran ki tilawat
I. Sahi Jawab ka intezaar
***********
Sahih Jawab : ABCF ✅

Jo ye amal karta hain uske khataye aise jhadte hain jaise darakht se paate 

Reference📚:
-----
Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya momin jab momin se milta hain aur usse Salaam kehta hain, is ka haath pakad kar is se musafah karta hain to un dono ki khataien is terhan jhad jaati hain jis tarhan darakht ke patte jhad jate hain.
-------
 حذیفہ بن یمان سے مروی ہے کہ نبی (ﷺ) نے فرمایا: مومن جب مومن سے ملتا ہے اور اسے سلام کہتا ہے ، اس کا ہاتھ پکڑ کر اس سے مصافحہ کرتا ہے تو ان دونوں کی خطائیں اس طرح جھڑجاتی ہیں جس طرح درخت کے پتے جھڑ جاتے ہیں 
Al-Silsila-tus-Sahiha Hadees # 295
-------
Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne ne ek tehni pakad kar jhaadi, lekin wo nahi jhadi, Aap ne phir jhaadi lekin wo nahi jhadi Aap ne phir jhaadi to wo jhad gayi. Aap Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya SubhanAllah Walhamdulillah Walailaha illAllahu WaAllahu Akbar khataao ko is terhan jhaad dete hain jis terhan ye darakht apne patte jhadta hain
------
 انس بن مالک  سے مروی ہے کہتے ہیں کہ نبی (ﷺ) نے ایک ٹہنی پکڑ کر جھاڑی ،لیکن وہ نہیں جھڑی،آپ نے پھر جھاڑی لیکن وہ نہیں جھڑی آپ نے پھر جھاڑی تو وہ جھڑ گئی۔ آپ (ﷺ) نے فرمایا: سبحان اللہ والحمدللہ ولاالہ الا اللہ واللہ اکبر۔ خطاؤں کو اس طرح جھاڑ دیتے ہیں جس طرح یہ درخت اپنے پتے جھاڑتا ہے 
Al-Silsila-tus-Sahiha Hadees # 2821
--------
Mein Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ki khidmat mein Aap ke marz ke zamana mein haazir huwa Nabi Sallallahu Alaihi wasallam is waqt bade taiz bukhaar mein the. mein ne arz kiya : ( YA Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam) aap ko bada taiz bukhaar hain mein ne ye bhi kaha ke ye bukhaar aap ko is liye itna taiz hai ke aap ka sawab bhi dugna hai Aap Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya ke haan jo musalman kisi bhi takleef mein girftar hota hai to Allah taala is ki wajah se is ke gunah is terhan jhaad deta hai jaise darakht ke patte jhard jate hain.
------
 میں رسول اللہ (ﷺ) کی خدمت میں آپ کے مرض کے زمانہ میں حاضر ہوا نبی (ﷺ) اس وقت بڑے تیز بخار میں تھے۔ میں نے عرض کیا:  ( یا رسول اللہ (ﷺ) ! )  آپ کو بڑا تیز بخار ہے۔ میں نے یہ بھی کہا کہ یہ بخار آپ کو اس لیے اتنا تیز ہے کہ آپ کا ثواب بھی دوگنا ہے آپ صلی (ﷺ) نے فرمایا کہ ہاں جو مسلمان کسی بھی تکلیف میں گرفتار ہوتا ہے تو اللہ تعالیٰ اس کی وجہ سے اس کے گناہ اس طرح جھاڑ دیتا ہے جیسے درخت کے پتے جھڑ جاتے ہیں۔ 
Sahih al-Bukhari #5647
------
Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam sardiyoon ke mausam mein nikle, jabke patte gir rahe thy, Aap  Sallallahu Alaihi wasallam ne ek darakht ki do shaakhen pakadi aur un se patte jhadna shuru hoge, Aap Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya Eh Abu Zar!  mein ne kaha jee Eh Allah ke Rasool Sallallahu Alaihi wasallam mein haazir hu, Aap Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya beshak musalman bandah jab namaz adaa karta hain, jabke is ka maqsad Allah taala ka chehra ho to is se is ke gunah is terhan girte hain, jaisse is darakht se ye patte gir rahe hain.
---------
سیدنا ابوذرؓ سے مروی ہے کہ نبی کریم (ﷺ) سردیوں کے موسم میں نکلے، جبکہ پتے گر رہے تھے، آپ (ﷺ)  نے ایک درخت کی دو شاخیں پکڑیں اور ان سے پتے جھڑنا شروع ہو گئے، آپ (ﷺ)  نے فرمایا:  اے ابو ذر!)) میں نے کہا: جی اے اللہ کے رسول (ﷺ) ! میں حاضر ہوں، آپ (ﷺ) نے فرمایا:  بیشک مسلمان بندہ جب نماز ادا کرتا ہے، جبکہ اس کا مقصد اللہ تعالیٰ کا چہرہ ہو تو اس سے اس کے گناہ اس طرح گرتے ہیں، جیسے اس درخت سے یہ پتے گر رہے ہیں۔ 
Musnad Ahmed Hadees # 1012
-------
Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya: Mareez ki khatayein iss tarah girti hin, jaise Darakht ke patte girte hin 
------
سیدنا اسد بن کرز  رضی اللہ عنہ سے مروی ہے کہ نبی کریم صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم  نے فرمایا:  مریض کی خطائیں اس طرح گرتی ہیں، جیسے درخت کے پتے گرتے ہیں۔ 
Musnad Ahmed Hadees # 9367

No comments:

Post a Comment

Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo

Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...