❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗
Sawal: Kaunse shakhs ke liye Jannat ke beach mein Mahal banaya jayega
A: padosi ke saath husn suluk karne wale ke liye
B: Mehman nawazi karta hain
C: Bad zubani nahi karta
D: Wada khilafi nahi karta
E: Haq per hone ke bawajood behas karna chodh de
F: hamesha sach bolta hain
G: Inmein se koi nahi
H: Sahi Jawab ka intezaar
********
Sahi Jawab-E✅
Haq per hone ke bawajood behas karna chodhe de uske liye Jannat ke beach mein ek Mahal banaya jayega
Reference📚:
------
Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya jisne jhoot bolna chodh diya aur wo batil par tha to uske liye Jannat ke kinaron mein Ek Mahal banaya jayega aur jisne Haq par hone ke bawajud behas chodh di uske liye Jannat ke beach main ek Mahal banaya jayega aur jisne apne aap ko Husn E Ikhlaq se mazeen kiya uske liye Jannat ke upari hissa main mahal banaya jaega
Sunnan ibn Maja #51-Sahih
----
رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: جس نے جھوٹ بولنا چھوڑ دیا اور وہ باطل پر تھا تو اس کے لیے جنت کے کناروں میں ایک محل بنایا جائے گا، اور جس نے حق پر ہونے کے باوجود بحث اور کٹ حجتی چھوڑ دی اس کے لیے جنت کے بیچ میں محل بنایا جائے گا، اور جس نے اپنے آپ کو حسن اخلاق سے مزین کیا اس کے لیے جنت کے اوپری حصہ میں محل بنایا جائے گا
----
Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam said: 'Whoever gives up telling lies in support of a false claim, a palace will be built for him in the outskirts of Paradise. Whoever gives up argument when he is in the right, a palace will be built from him in the middle (of Paradise). And whoever had good behavior, a palace will be built for him in the highest reaches (of Paradise).'
Sunnan ibn Maja# 51-Sahih
No comments:
Post a Comment