Islamic Images

Islamic Images
La Ilaha IllAllah

Tuesday 30 June 2020

Kaunse amal ke sabab ziyada tar log Jannat mein dhakil honge

❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Sawal: Kaunse amal ke sabab ziyada tar log Jannat mein dhakil honge

A: Miskeen ko khana khilana
B: Namaz padhna
C: Sadqa
D: Quran ki tilawat
E: Husn-e-Akhlaq
F: Bewa ki madad karna 
G: Inmein se koi nahi

H: Sahi Jawab ka Intezaar

Note agar apka jawab G hai toh sahi jawab likhiye

*******************

Sahi Jawab - E✅

Husn-e-Akhlaq ki wajah se ziyada tar log Jannat mein dhakil honge

Reference📚:
------
Syedna Abu Huraira ‌RadiAllahu Anhu se riwayat hai ke Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam se yeh sawal kiya gaya ke kis cheez ki wajah se log sab se ziyada Aag mein ghusenge, Aap Sallallahu Alahi Wasallam ne farmaya : اجْوفان, yani muh aur sharamgah phir Aap Sallallahu Alahi Wasallam se yeh sawal kiya ke kis amal ki wajah se sab se ziyada log Jannat mein daakhil honge, Aap Sallallahu Alahi Wasallam ne farmaya Husn-e-Akhlaq
----
 ۔ سیدنا ابو ہریرہ ‌رضی ‌اللہ ‌عنہ سے مروی ہے کہ رسول اللہ ‌صلی ‌اللہ ‌علیہ ‌وآلہ ‌وسلم سے یہ سوال کیا گیا کہ کس چیز کی وجہ سے لوگ سب سے زیادہ آگ میں گھسیں گے، آپ ‌صلی ‌اللہ ‌علیہ ‌وآلہ ‌وسلم نے فرمایا: اَجْوَفَانِ، یعنی منہ اور شرمگاہ۔ پھر آپ ‌صلی ‌اللہ ‌علیہ ‌وآلہ ‌وسلم سے یہ سوال کیا کہ کس عمل کی وجہ سے سب سے زیادہ لوگ جنت میں داخل ہوں گے، آپ ‌صلی ‌اللہ ‌علیہ ‌وآلہ ‌وسلم نے فرمایا: حسن اخلاق۔ 
------
Musnad Ahmed#9154-Sahih

No comments:

Post a Comment

Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo

Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...