Islamic Images

Islamic Images
La Ilaha IllAllah

Wednesday 1 September 2021

Wo kaunsa amal hain jiske karne par banda Jannat ke ziyada nazdik aa jata hain

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz 793❗

Sawal: Wo kaunsa amal hain jiske karne par banda Jannat ke ziyada nazdik aa jata hain

A: Logon ke liye assani paida karne se
B: Tahhajud ki Namaz padhne se
C: Padosi ke saath Husn e Suluk karne se
D: Ristedaro ke liye assani paida karne se
E: Walidain ke saath Husn e Suluk karne se
F: Ilm hasil karne se
G: Inmein se koi nahi
H: Sahih Jawab ka intezaar
-----
Sahih Jawab - E✅

Hadith: Maa Baap ke saath Husn e Suluk Jannat se Qareeb karta hain

Reference📚:
-----------
Abdullah bin Masud Radi Allahu Anhu se riwayat hain Maine Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam se pocha YA Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam kaunsa aamal Jannat se ziyada qareeb (Nazdik karta hain) farmaya Namazein apne Apne Auqat par padhna maine pocha YA Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam aur kaunsa aamal faramaya Waliden Ke saath Husn e Suluk maine pocha YA Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam aur kya Farmaya Allah Subhanahu ki raah main Jihad karna 
------
حضرت عبد اللہ بن مسعود رضی اللہ عنہ   سے روایت کی ، انہوں نے کہا : میں نے پوچھا : اے اللہ کے نبی !کون سا عمل جنت سے زیادہ قریب ( کردیتا ) ہے ؟ فرمایا : ’’نمازیں اپنے اپنے اوقات پر پڑھنا ۔ ‘ ‘ میں نے پوچھا : اے اللہ کے نبی ! اور کیا ؟ فرمایا : ’’ والدین کے ساتھ حسن سلوک کرنا ۔ ‘ ‘ میں نے پوچھا : اے اللہ کے نبی ! اور کیا ؟ فرمایا : ’’ اللہ کی راہ میں جہاد کرنا ۔ ‘ ‘ 
-----
Abdullah b. Mas'ud reported: I said: Messenger of Allah, which of the deeds (takes one) nearer to Paradise? He (the Holy Prophet) replied: Prayer at its proper time, I said: What next, Messenger of Allah? He replied: Kindness to the parents. I said: What next? He replied: Jihad in the cause of Allah. 
Sahih Muslim Hadees# 253

No comments:

Post a Comment

Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo

Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...