❗Only-Quran-Hadith-Quiz 790❗
❗Teen sawal ka jawab ek saath dijiye
Sawal1: ye misaal kis ke liye hain uss sawari ki tarhan hai jiske darakht ke neeche saya hasil karne ke liye baitha ho..
Sawal2: Ye misaal kis ke liye hain jaise barish ki terhan ho
Sawal3: Ye misaal kis ke liye farmaye gayi hai ke in jaisi mohabbat karne wale nahi dehke hai
A: Ansaar
B: Miya aur Biwi
C: Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ki ummat
D: Duniya aur Qayamat
E: Din aur Raat
F: Anbiya Alaihi Sallam
G: Maa aur aulaad
H: Ahle Bait
I: Inmein se koi nahi (apna jawab likhiye)
J: Sahi Jawab ka intezaar
***
Sahih Jawab - ICB✅
Hadith: Miya aur Biwi ki misaal baahum (mil kar) Mohabbat karne wale ki tarhan hain
Abdullah bin Masood RadiAllahu Anhu ne kaha ke Rasool-Allah Salllallahu Alaihi wasallam ek chataai par soye to Aap ke pehlu mein nishaan padh gaya. Jab Aap jaghe to mein Aap ka pehlu sehalane laga mein ne kaha : Eh Allah ke Rasool Sallallahu Alaihi wasallam! Aap ne humein bataya kuyn nahi hum Aap ki chataai par kuch cheez bichaa dete. Rasool-Allah Salllallahu Alaihi wasallam ne farmaya : Mujhe duniya se kya matlab? Aur duniya ka kya talluq? Meri misaal to is sawaar ki terhan hai jo ek darakht ke neechay saya haasil karne ke liye baitha, phir wahan se kuch kar gaya aur darakht ko chodh diya
----
عبداللہ بن مسعودرضی اللہ عنہ نے كہا: كہ رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم ایك چٹائی پر سوئے تو آپ كے پہلو میں نشان پڑ گیا۔ جب آپ جاگےتو میں آپ کا پہلو سہلانے لگا۔ میں نے كہا: اے اللہ كے رسول ! آپ نے ہمیں بتایا كیوں نہیں ہم آپ كی چٹائی پر كوئی چیز بچھا دیتے۔رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: مجھے دنیا سے كیا مطلب ؟ اور دنیا كا كیا تعلق؟ میری مثال تو اس سوار كی طرح ہے جو ایك درخت كے نیچے سایہ حاصل كرنے كے لئے بیٹھا، پھر وہاں سے كوچ كر گیا اور درخت كو چھوڑ دیا
Al-Silsila-tus-Sahiha#1387-Sahih
------
Rasool-Allah Salllallahu Alaihi wasallam ne farmaya : Meri ummat ki misaal barish ki terhan hai, maloom nahi ke pehlay walay log behtar hain ya aakhir walay.
----
آپ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: میری امت كی مثال بارش كی طرح ہے، معلوم نہیں كہ پہلے والے لوگ بہتر ہیں یا آخر والے۔
----
Al-Silsila-tus-Sahiha#1392-Sahih
Hazrat Ibn Abbas RadiAllahu Anhu bayan karte hain, Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya: tum ne nikah (yani khawand o biwi) ki misaal do baahum (ek saath ya mil kar) mohabbat karne wale nahi dekhe honge
---
حضرت ابن عباس ؓ بیان کرتے ہیں ، رسول اللہ ﷺ نے فرمایا :’’ تم نے نکاح (یعنی خاوند و بیوی) کی مثل دو باہم محبت کرنے والے نہیں دیکھے ہوں گے ۔‘‘ ، رواہ ابن ماجہ ۔
Mishkat ul Masabeeh#3093-Sahih
No comments:
Post a Comment