❗Only-Quran-Hadith-Quiz 794❗
❗Jawab ek se ziyada hain!
Sawal: DUA ke mutalliq inmein se kaun kaun si baate sahih hain
A: Dua Allah ke Nazdik Muaziz aur Makrum hain
B: Dua ka matlab Sabr hain
C: Dua mein gunah aur qata rehmi wali baat na ho
D: Allah se bahut ziyada dua karna kuyne Allah bahut aata karne wala hain
E: Jab banda apne haath utha kar Allah se dua karta hain to Allah Sharminda hojata hain ke apne bande ko kaise khali wapis kare
F: Dua mangte waqt apna ruk aasman ki janib karke maango
G: Jo Allah se dua nahi karta Allah usse naraz hojata hain
H: Dua Allah ke nazdeek bahut izzat wali hain
I: Dua mangte waqt dono hatheli ko asmaan ki jaanib karke maango
J: Sahih Jawab ka Intezaar
*****
Sahih Jawab - ACDEGHI✅
Hadith: Allah Subhanahu se Dua maagne ki fazilat
Reference📚:
-----
Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya: "Allah Subhanahu ke Nazdik DUA se Muaziz aur Makrum (Bahut Aziz) koi Cheez (Ibadat) nahi hain
-----
نبی اکرم صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: ”اللہ کے نزدیک دعا سے زیادہ معزز و مکرم کوئی چیز ( عبادت ) نہیں ہے“ ۱؎۔
_
Abu Hurairah narrated that: The Prophet Sallallahu Alaihi wasallam said: “There is nothing more honorable with Allah [Most High] than supplication.”
----
JameTirmizi Hadith# 3370-Sahih
****
Syedna Abu Saeed RadiAllahu Anhu se riwayat hai ke Nabi Kareem Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya jo musalman aisi dua karta ho, jis mein gunah aur qata rehami wali baat na ho to Allah taala is ko teen mein se ek cheez ataa karta hai, ya uski dua jaldi jaldi qubool kar li jati hai, ya is ki dua ko akhirat ke liye zakheera kar liya jata hai, ya is ke koi takleef ya buri cheez ko usse durr kar diya jata hai. Sahaba RadiAllahu Anhu ne kaha to phir hum bohat ziyada dua karen ge, Aap Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya Allah Subhanahu ta’ala ziyada ataa karne wala hain
----
سیدنا ابو سعید رضی اللہ عنہ سے مروی ہے کہ نبی کریم صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم نے فرمایا: جو مسلمان ایسی دعا کرتا ہو، جس میں گناہ او رقطع رحمی والی بات نہ ہو تو اللہ تعالیٰ اس کو تین میں سے ایک چیز عطا کرتا ہے، یا اس کی دعا جلدی جلدی قبول کر لی جاتی ہے، یا اس کی دعا کو آخرت کے لیے ذخیرہ کر لیا جاتا ہے، یا اس کے بقدر اس آدمی سے بری چیز کو دور کر دیا جاتا ہے۔ صحابہ نے کہا: تو پھر ہم بہت زیادہ دعا کریں گے، آپ صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم نے فرمایا: اللہ تعالیٰ زیادہ عطا کرنے والا ہے۔
-----
Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam said: If any Muslim who supplicates to Allah without sin or cutting family ties, Allah will grant him one of the three things his supplication is quickly accepted, or his supplication is stored for the Hereafter, or the evil thing is removed from this man accordingly. The companions said: Then we will supplicate a lot. The Prophet Sallallahu Alaihi wasallam said: Allah is the bestower.
----
Musnad Ahmed#5585-Sahih
**
Sayedna Abu Huraira RadiAllahu Anhu se riwayat hain ke Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya koi cheez nahi hain jo dua se badh kar Allah Subhanahu taala ke haan ziyada izzat wali ho
----
۔ سیدنا ابو ہریرہ رضی اللہ عنہ سے مروی ہے کہ رسول اللہ صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم نے فرمایا: کوئی چیز نہیں ہے، جو دعا سے بڑھ کر اللہ تعالیٰ کے ہاں زیادہ عزت والی ہو۔
----
It is narrated on the authority of Abu Huraira RadiAllahu Anhu that the Messenger of Allah Sallallahu Alaihi wasallam said: There is nothing that is more honorable in the sight of Allah than supplication.
----
Musnad Ahmed#5587-Sahih
***
Sayedna Abu Huraira RadiAllahu Anhu se riwayat hain ke Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya: jo Allah Subhanahu taala se dua nahi karta, Allah Subhanahu taala is se naraaz ho jata hain
-----
۔ سیدنا ابوہریرہ رضی اللہ عنہ سے مروی ہے کہ رسول اللہ صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم نے فرمایا: جو اللہ تعالیٰ سے دعا نہیں کرتا، اللہ تعالیٰ اس سے ناراض ہو جاتا ہے۔
-----
It is narrated on the authority of Abu Huraira RadiAllahu Anhu that the Messenger of Allah Sallallahu Alaihi wasallam said: Whoever does not supplicate to Allah, Allah becomes angry with him.
----
Musnad Ahmed#5588-Sahih
*****
Syedna Salman Farsi RadiAllahu Anhu se riwayat hain ke Allah Subhanahu taala ne kaha jab banda Allah taala se sawal karne (dua) ke liye is ke samne apne dono haath daraaz karta hain to wo is se sharmaata hain ke un ko khaali wapas karde
----.
سیدنا سلمان فارسی رضی اللہ عنہ سے مروی ہے کہ اللہ تعالیٰ نے کہا: جب بندہ اللہ تعالیٰ سے سوال کرنے کے لیے اس کے سامنے اپنے دونوں ہاتھ دراز کرتا ہے تو وہ اس سے شرماتا ہے کہ ان کو خالی واپس کر دے۔
----
It is narrated on the authority of Salman Farsi (may Allah be pleased with him) that Allah Almighty said: When a servant raises his hands in front of him to ask Allah, he is ashamed to return them empty-handed.
----
Musnad Ahmed#5590-Sahih
***
Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: Jab tum Allah se mango to apni hateliyon ka rukh asmaan ki taraf kar ke mango aur is ke hatheliyon ki pusht ke rukh par na mango
---------
مالک بن یسار سکونی عوفی سے مروی ہے کہ رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: جب تم اللہ سے مانگو تو اپنی ہتھیلیوں کا رخ آسمان کی طرف کر کے مانگو اور اس سے ہتھیلیوں کی پشت کے رخ پر نہ مانگو
------
Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam said: When you supplicate to Allah, turn your palms towards the sky, and do not ask Him towards the back of your palms.
------
Al-Silsila-tus-Sahiha#236-Sahih
No comments:
Post a Comment