Islamic Images

Islamic Images
La Ilaha IllAllah

Wednesday 1 September 2021

Mahfuhm mukammal kare ...kaunsa amal karne par farmaya gaya hai ke shaitan uss ghar ke nazdeek bhi nahi aa sakta

 ❗ Only-Quran-Hadith-Quiz 791❗

Sawal: Mahfuhm mukammal kare ...kaunsa amal karne par farmaya gaya hai ke shaitan uss ghar ke nazdeek bhi nahi aa sakta

A: Raat ko ayat al kursi padh ke sone se
B: Bismillah padh ke darwaza band karne se
C: Fajar ke waqt Quran ki tilawat karne se
D: Surah Al Baqrah padhne se
E: Salam karke ghar mein dhakil hone se
F: Wazu karke sone se
G: Inmein se koi nahi (apna sahih jawab likiye)
H: Sahi Jawab ka intezaar
*****
Sahi Jawab G✅ - Surah Al Baqrah ki akhri do aayat padne se musalsal teen raatein padhne se

Hadith: Jis ghar mein musalsal 3 raaton tak Surah Al Baqrah ki akhiri do aayate padhi jaati hai mumkin nahi hain ke Shaitan us ghar ke qareeb aa sake
Reference📚:
----
Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya Allah Subhanahu ne zameen aur asman paida karne se do hazar saal pehle ek kitab likhi us Kitab ki do aayatein nazil kiye aur innhein aayaton par Surah Baqara ko mukamal kiya Jis Ghar mein ye dono aayatein (musalsal) teen raatein padhi jaegi mumkin nahi hain ke Shaitan us Ghar ke Qareeb aa sake
-------
نبی اکرم صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: ”اللہ تعالیٰ نے زمین و آسمان پیدا کرنے سے دو ہزار سال پہلے ایک کتاب لکھی، اس کتاب کی دو آیتیں نازل کیں اور انہیں دونوں آیتوں پر سورۃ البقرہ کو ختم کیا، جس گھر میں یہ دونوں آیتیں ( مسلسل ) تین راتیں پڑھی جائیں گی ممکن نہیں ہے کہ شیطان اس گھر کے قریب آ سکے“
------
Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam said Indeed Allah wrote in a book two thousand years before He created the heavens and the earth, and He sent down two Ayat from it to end Surat Al-Baqarah with. If they are recited for three nights in a home, no Shaitan shall come near it.
-----
Jamia Tirmazi hadees#2882-Sahih

No comments:

Post a Comment

Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo

Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...