Islamic Images

Islamic Images
La Ilaha IllAllah

Monday 21 September 2020

Jab Qayamat mein soor phoonka jayega aur sab behosh ho jayenge to sabse pahle kaun hosh mein aayege?

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗


Sawal 1: Jab Qayamat mein soor phoonka jayega aur sab behosh ho jayenge to sabse pahle kaun hosh mein aayege? 


A: Jannat ka daroga 

B: Musa Alahi Salam 

C: Nooh Alaihi Salam 

D: Jibrayel Alaihi Salam 

E: Rasool-Allah (ﷺ)

F: Aadam Alaihi Salam 

G: Arsh uthane wale Farishte 

H: In mein se koi nahi 


I: Sahi jawab ka intezar hai


Sawal 2:  Aur us waqt Musa Alaihi Salam kaha honge?


A: Phele Aasman par

B: Jannat ke darwaze par

C: Dusre Aasman par

D: Arsh ke kone ke pass

E: Bait ul Muqaddas mein

F: Satve Aasman par

G: Jannat ke nahar ke pass 

H: In mein se koi nahi 


I: Sahi Jawab ka Intezaar

*********

Sahi Jawab - ED✅


Reference📚:


Abu hurairah Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki do aadmiyon ne aapas mein gaali galoch ki jinmein se ek musalman tha aur dusra yahudi tha, Musalman ne kaha us RABB ki kasam jisne Rasool-Allah (ﷺ) ko sare jahan par barguzida kiya hai , Yahudi ne kaha ki us RAB ki kasam jisne Musa Alaihi salam ko sare jahan par barguzida kiya hai , rawi ne kaha ki musalman yahudi ki baat sunkar khafa ho gaya aur uske munh par ek tamancha maar diya. Yahudi Rasool-Allah (ﷺ) ke pass gaya aur sara waqiya arz kiya , phir Rasool-Allah (ﷺ) ne farmaya Musa Alaihi Salam par mujhko fazilat na do kyunki Qayamat ke din soor phunkte hi sab behosh ho jayenge aur main sabse pahla shaks hunga jisko hosh aayega aur main dekhunga ki Musa alaihi salam Arsh ilahi ka kona thame huye hain mujhe ye nahi malum ki Musa alaihi salam un logo mein they jo behosh huye ya phir mujhse pahle hosh mein aaye ya phir Allah Subhanahu ne unko behosh nahi hone diya 

--------

Narrated Abu Huraira:

Two men, a Muslim and a Jew, abused each other. The Muslim said, "By Him Who gave superiority to Muhammad over all the people." On that, the Jew said, "By Him Who gave superiority to Moses over all the people." The Muslim became furious at that and slapped the Jew in the face. The Jew went to Allah's Messenger (ﷺ) and informed him of what had happened between him and the Muslim. Allah's Apostle said, "Don't give me superiority over Moses, for the people will fall unconscious on the Day of Resurrection and I will be the first to gain consciousness, and behold ! Moses will be there holding the side of Allah's Throne. I will not know whether Moses has been among those people who have become unconscious and then has regained consciousness before me, or has been among those exempted by Allah from falling unconscious."

------------

ابوہریرہ رضی اللہ عنہ نے فرمایا کہ دو آدمیوں نے آپس میں گالی گلوچ کی ۔ جن میں سے ایک مسلمان تھا اور دوسرا یہودی تھا ۔ مسلمان نے کہا کہ اس پروردگار کی قسم جس نے محمد صلی اللہ علیہ وسلم کو تمام جہان پر برگزیدہ کیا ۔ یہودی نے کہا کہ اس پروردگار کی قسم جس نے موسیٰ علیہ السلام کو تمام جہان پر برگزیدہ کیا ۔ راوی نے بیان کیا کہ مسلمان یہودی کی بات سن کر خفا ہو گیا اور اس کے منہ پر ایک طمانچہ رسید کیا ۔ یہودی رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم کے پاس گیا اور آنحضرت صلی اللہ علیہ وسلم سے اپنا اور مسلمان کا سارا واقعہ بیان کیا ۔ آنحضرت صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا دیکھو موسیٰ علیہ السلام پر مجھ کو فضیلت مت دو کیونکہ قیامت کے دن ایسا ہو گا کہ صور پھونکتے ہی تمام لوگ بیہوش ہو جائیں گے اور میں سب سے پہلا شخص ہوں گا جسے ہوش آئے گا ۔ میں کیا دیکھوں گا کہ موسیٰ علیہ السلام عرش الٰہی کا کونہ تھامے ہوئے ہیں ۔ مجھے نہیں معلوم کی موسیٰ علیہ السلام بھی ان لوگوں میں ہوں گے جو بیہوش ہوئے تھے اور پھر مجھ سے پہلے ہی ہوش میں آ گئے تھے یا ان میں سے ہوں گے جنہیں اللہ تعالیٰ نے اس سے مستثنیٰ کر دیا

-----------


Reference : Sahih al-Bukhari 6517

In-book reference : Book 81, Hadith 106

USC-MSA web (English) reference : Vol. 8, Book 76, Hadith 524

No comments:

Post a Comment

Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo

Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...