❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗
Sawal: Qayamat ke din tamam makhlooq mein bure inmein se kaunse shaqs honge?
A: Miya Biwi ke darmiyan dooriyan paida karne wale
B: Padosio ko takleef dene wale
C: Soodi karobar karne wale
D: Shirk karne wale
E: Apne waldain per lanat karne wale
F: Allah ki shafqat se na umeed (mayus) hone wale
G: In mein se koi nahi
H: Sahi Jawab ka intezaar
**********
Sahi Jawab - G✅ (qabar par Masjid banatay aur is mein yahi moorten (tasveerain) bana dete)
Reference📚
Umm Habiba aur Umm Salma Radi Allahu Anhuma dono ne ek kaleesa ka zikar kiya jisay unhon ne Habsha mein dekha to is mein Moorten (tasveerain) thi unhone is ka tazkira Nabi Kareem (ﷺ) se bhi kiya Aap (ﷺ) ne farmaya ke un ka yeh qaida tha ke agar un mein koi nekokar (naik) shakhs marr jata to woh log is ki qabar par Masjid banatay aur is mein yahi moorten (tasveerain) bana dete pas yeh log Allah ki dargaah mein Qayamat ke din tamam makhlooq mein buray honge
--------
Narrated `Aisha: Umm Habiba and Umm Salama mentioned about a church they had seen in Ethiopia in which there were pictures. They told the Prophet about it, on which he said, If any religious man dies amongst those people they would build a place of worship at his grave and make these pictures in it. They will be the worst creature in the sight of Allah on the Day of Resurrection.
----------
ام حبیبہ اور ام سلمہ رضی اللہ عنہما دونوں نے ایک کلیسا کا ذکر کیا جسے انہوں نے حبشہ میں دیکھا تو اس میں مورتیں ( تصویریں ) تھیں۔ انہوں نے اس کا تذکرہ نبی کریم صلی اللہ علیہ وسلم سے بھی کیا۔ آپ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا کہ ان کا یہ قاعدہ تھا کہ اگر ان میں کوئی نیکوکار ( نیک ) شخص مر جاتا تو وہ لوگ اس کی قبر پر مسجد بناتے اور اس میں یہی مورتیں ( تصویریں ) بنا دیتے پس یہ لوگ اللہ کی درگاہ میں قیامت کے دن تمام مخلوق میں برے ہوں گے۔
--------
Sahih Hadees
Sahih Bukhari Hadees # 427
No comments:
Post a Comment