Islamic Images

Islamic Images
La Ilaha IllAllah

Monday 21 September 2020

Jab Maut ke waqt kiski ko Allah Subhanahu ka khauf aur Rahamt ki umeed dono ho to usko kya sila milega?

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗


Jawab ek se zyada hai!


Sawal: Jab Maut ke waqt kiski ko Allah Subhanahu ka khauf aur Rahamt ki umeed dono ho to usko kya sila milega?


A: Jannat  mein dakhil kar diya jayega

B: jiski wo ummeed karta hoga wo cheez milegi

C: Qabr ka azab nahi hoga

D: Jahannam ka azab nahi hoga

E: Dahine haath mein aamal nama milega

F: Uska hisab aasan hoga

G: jis cheez se darta hoga us se mehfooz kar diya jayega


H: Sahi Jawab ka Intezaar?

**********

Sahi Jawab - BG✅


Reference📚:


Nabi Akram (ﷺ) ek naujawan ke paas aye jo Marz ul Maut mein tha, Aap (ﷺ) ne is se poocha tum apne aap ko kaisa paate ho? is ne arz kiya Allah ke Rasool (ﷺ) Allah Subhanahu ki Rehmat ki umeed karta hon, aur apne gunaho se darta hon, Rasool-Allah (ﷺ) ne farmaya jis bande ke dil mein aise waqt mein yeh dono kaifiyate jama ho jayen, Allah Subhanahu ta’ala is ko woh cheez dega jis ki woh umeed karta hai, aur jis cheez se darta hai, is se mehfooz rakhe ga.

-----------


It was narrated from Anas that the Prophet (ﷺ) entered upon a young man who was dying and said: “How do you feel?” He said: “I have hope in Allah, O Messenger of Allah, but I fear my sins.” The Messenger of Allah (ﷺ) said: “These two things (hope and fear) do not coexist in the heart of a person in a situation like this, but Allah will give him that which he hopes for and keep him safe from that which he fears.”

----------

 نبی اکرم صلی اللہ علیہ وسلم ایک نوجوان کے پاس آئے جو مرض الموت میں تھا، آپ صلی اللہ علیہ وسلم نے اس سے پوچھا:  تم اپنے آپ کو کیسا پاتے ہو ؟ اس نے عرض کیا: اللہ کے رسول! اللہ کی رحمت کی امید کرتا ہوں، اور اپنے گناہوں سے ڈرتا ہوں، رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: جس بندے کے دل میں ایسے وقت میں یہ دونوں کیفیتیں جمع ہو جائیں، اللہ تعالیٰ اس کو وہ چیز دے گا جس کی وہ امید کرتا ہے، اور جس چیز سے ڈرتا ہے، اس سے محفوظ رکھے گا ۔ 

---------

Grade : Hasan (Darussalam)

English reference : Vol. 5, Book 37, Hadith 4261

Arabic reference : Book 37, Hadith 4402

No comments:

Post a Comment

Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo

Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...